الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الدعوات
Kitab: Duaon ke bayan mein
باب التعوذ والقراءة عند المنام:
Sote waqt shaitaan se panah maangna aur tilawat Quran karna.
Show diacritics
Hadith Number: 6319
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، قال: حدثني عقيل، عن ابن شهاب، اخبرني عروة عن عائشة رضي الله عنها" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان إذا اخذ مضجعه نفث في يديه، وقرا بالمعوذات، ومسح بهما جسده".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Aqeel ne bayan kiya, in se Ibn Shihab ne bayan kiya, unhein Urwah ne khabar di aur unhein Umm al-Momineen Aisha razi Allahu anha ne ke jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam laytte to apne hathon par phoonkte aur mo-uzhaat parhte aur donon hath apne jism par pherte.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5017
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا المفضل بن فضالة، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن عروة، عن عائشة، ان النبي صلى الله عليه وسلم:" كان إذا اوى إلى فراشه كل ليلة جمع كفيه، ثم نفث فيهما، فقرا فيهما: قل هو الله احد وقل اعوذ برب الفلق وقل اعوذ برب الناس ثم يمسح بهما ما استطاع من جسده، يبدا بهما على راسه ووجهه وما اقبل من جسده، يفعل ذلك ثلاث مرات".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya, unhon ne kaha hum se Mufaddal bin Fadala ne byaan kiya, unhon ne kaha hum se Aqeel bin Khalid ne byaan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn Shihab ne byaan kiya, un se Urwah ne byaan kiya, aur un se Umm al-Momineen Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam har raat jab bistar par aaram farmate to apni donon hatheliyon ko mila kar «qul huwallahu ahadun» , «qul aoozhu bi-rabbil falaqi» aur «qul aoozhu bi-rabbin-naasi» (teenon surtein mukammal) parh kar un par phoonkte aur phir donon hatheliyon ko jahan tak mumkin hota apne jism par pheerte thay. Pehle sar aur chehra par hath pheerte aur samne ke badan par. Yeh amal Aap salla Allahu alaihi wasallam ne teen dafa karte thay.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة