الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاستئذان
Kitab: Ijazat lene ke bayan mein
باب إذا كانوا أكثر من ثلاثة فلا بأس بالمسارة والمناجاة:
Jab teen se zyada aadmi hon to kaana phoosi karne mein koi harj nahin hai.
Hadith Number: 6290
حدثنا عثمان، حدثنا جرير، عن منصور، عن ابي وائل، عن عبد الله رضي الله عنه، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إذا كنتم ثلاثة، فلا يتناجى رجلان دون الآخر حتى تختلطوا بالناس اجل ان يحزنه".
Hum se Usman bin Abi Shaybah ne bayan kiya , kaha hum se Jareer bin Abd-ul-Hameed ne bayan kiya , in se Mansoor bin Mutamir ne , in se Abu Wail ne aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jab teen aadmi hon to teesre saathi ko chhorr kar tum aapas mein kana-phosi (sargoshi) na kiya karo . Is liye ke logon ko ranj ho ga albatta agar doosre aadmi bhi hon to muzhay-qa nahi .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6288
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك. ح وحدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن نافع، عن عبد الله رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا كانوا ثلاثة، فلا يتناجى اثنان دون الثالث".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya , kaha hum ko Imam Malik ne khabar di (doosri sanad) Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke hum se Ismail bin Abi Oways ne bayan kiya , kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya , in se Nafi ne aur in se Abdullah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jab teen aadmi saath hon to teesre saathi ko chhorr kar do aapas mein kana-phosi (sargoshi) na karein .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة