الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأدب
Kitab: Akhlaq ke bayan mein
باب ما يستحب من العطاس، وما يكره من التثاؤب:
Chheenk achhi hai aur jamaai mein burai hai.
Hadith Number: 6223
حدثنا آدم بن ابي إياس، حدثنا ابن ابي ذئب، حدثنا سعيد المقبري، عن ابيه، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم" إن الله يحب العطاس، ويكره التثاؤب، فإذا عطس فحمد الله، فحق على كل مسلم سمعه ان يشمته، واما التثاؤب فإنما هو من الشيطان، فليرده ما استطاع، فإذا قال: ها ضحك منه الشيطان".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn Abi Zib ne bayan kiya, in se Saeed Muqbiri ne bayan kiya, in se un ke walid ne, in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (farmaya ke) Allah Ta-ala chheink ko pasand karta hai aur jamayi ko napasand karta hai. Is liye jab tum mein se koi shakhs chheinke aur Al-hamdu lillah kahe to har Musalman par jo usay sune, haq hai ke is ka jawab yarhamukallah se de. Lekin jamayi shaytan ki taraf se hoti hai is liye jahan tak ho sake usay roke kyunke jab woh munh khol kar ha ha ha kehta hai to shaytan is par hans-ta hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3289
حدثنا عاصم بن علي، حدثنا ابن ابي ذئب، عن سعيد المقبري، عن ابيه، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" التثاؤب من الشيطان فإذا تثاءب احدكم فليرده ما استطاع فإن احدكم إذا، قال: ها ضحك الشيطان".
Hum se Asim Bin Ali ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Wahb ne bayan kiya, un se Said Maqbari ne, un se un ke walid ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jamayi shaitan ki taraf se hai. Pas jab kisi ko jamayi aaye to jahan tak ho sake ise roke. Kyunke jab koi (jamayi lete hue) 'haha' karta hai to shaitan is par hansta hai."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6226
حدثنا عاصم بن علي حدثنا ابن ابي ذئب عن سعيد المقبري عن ابيه عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال: إن الله يحب العطاس، ويكره التثاؤب، فإذا عطس احدكم وحمد الله كان حقا على كل مسلم سمعه ان يقول له: يرحمك الله، واما التثاؤب فإنما هو من الشيطان، فإذا تثاؤب احدكم فليرده ما استطاع، فإن احدكم إذا تثاءب ضحك منه الشيطان.
Hum se Aasim bin Ali ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn Abi Zib ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hamase Saeed Muqbiri ne bayan kiya, in se un ke walid ne bayan kiya, in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta-ala chheink ko pasand karta hai kyunke woh baaz dafa sehat ki alamat hai aur jamayi ko napasand karta hai. Is liye jab tum mein se koi shakhs chheinke to woh Al-hamdu lillah kahe lekin jamayi lena shaytan ki taraf se hota hai. Is liye jab tum mein se kisi ko jamayi aaye to woh apni quwat o taqat ke mutabiq usay roke. Is liye ke jab tum mein se koi jamayi leta hai to shaytan hans-ta hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة