الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأدب
Kitab: Akhlaq ke bayan mein
باب رفع البصر إلى السماء:
Aasman ki taraf nazar uthana.
Show diacritics
Hadith Number: 6214
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: سمعت ابا سلمة بن عبد الرحمن يقول: اخبرني جابر بن عبد الله، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول:" ثم فتر عني الوحي فبينا انا امشي سمعت صوتا من السماء، فرفعت بصري إلى السماء، فإذا الملك الذي جاءني بحراء قاعد على كرسي بين السماء والارض".
Hum se Ibn Bukayr ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya, in se Aqeel ne, in se Ibn Shihab ne ke main ne Abu Salamah bin Abd-ur-Rahman se suna, woh bayan karte thay ke mujhe Jabir bin Abdullah ne khabar di, unhon ne Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam se, Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir mere paas wahi aane ka silsila band ho gaya. Ek din main chal raha thu ke main ne aasman ki taraf se ek aawaz suni, main ne aasman ki taraf nazar uthayi to main ne phir is farishte ko dekha jo mere paas Ghar e Hira mein aaya thu, woh aasman o zameen ke darmiyan kursi par baitha hua thu.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4
قال ابن شهاب : واخبرني ابو سلمة بن عبد الرحمن ، ان جابر بن عبد الله الانصاري ، قال وهو يحدث عن فترة الوحي، فقال في حديثه: بينا انا امشي إذ سمعت صوتا من السماء فرفعت بصري، فإذا الملك الذي جاءني بحراء جالس على كرسي بين السماء والارض، فرعبت منه فرجعت، فقلت: زملوني، فانزل الله تعالى:" يايها المدثر[1] قم فانذر [2]" [سورة المدثر آية 1-2]، فحمي الوحي وتتابع، تابعه عبد الله بن يوسف ، وابو صالح ، وتابعه هلال بن رداد ، عن الزهري ، وقال يونس ، ومعمر بوادره.
Ibn-e-Shihaab kehte hain mujh ko Abu Salamah bin Abdur Rahman ne Jabir bin Abdullah Ansari Radhiallahu Anhuma se yeh riwayat naql ki ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Wahi ke ruk jaane ke zamaane ke halaat bayan farmaate huwe kaha ke ek roz main chala jaa raha tha ke achaanak main ne aasman ki taraf ek aawaaz suni aur main ne apna sar aasman ki taraf uthaaya kya dekhta hun ke wahi farishta jo mere paas Ghaar-e-Hira mein aaya tha woh aasman-o-zameen ke beech mein ek kursi par baitha huwa hai. Main us se darr gaya aur ghar aane par main ne phir kambal odhne ki khwahish zahir ki. Us waqt Allah paak ki taraf se yeh aayaat naazil huen. Aye lihaaf odh kar letne waale! Uth khada ho aur logon ko azaab-e-ilaahi se dara aur apne Rabb ki badaayi bayan kar aur apne kapdon ko paak saaf rakh aur gandagi se door reh. Us ke baad Wahi tezi ke saath pe-dar-pe aane lagi. Is Hadees ko Yahya bin Bukair ke alawah Laith bin Sa’d se Abdullah bin Yousuf aur Abu Saleh ne bhi riwayat kiya hai. Aur Uqail ke alawah Zohri se Hilal bin Raddad ne bhi riwayat kiya hai. Younus aur Ma’mar ne apni riwayat mein lafz «فُؤَادُهُ» ki jagah «بَوَادِرُهُ» naql kiya hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة