الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأدب
Kitab: Akhlaq ke bayan mein
باب اسم الحزن:
Huzn naam rakhna.
Show diacritics
Hadith Number: 6190
حدثنا إسحاق بن نصر، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن ابن المسيب، عن ابيه، ان اباه جاء إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" ما اسمك؟" قال: حزن قال:" انت سهل" قال: لا اغير اسما سمانيه ابي قال ابن المسيب: فما زالت الحزونة فينا بعد، حدثنا علي بن عبد الله، ومحمود هو ابن غيلان، قالا: حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن ابن المسيب، عن ابيه، عن جده، بهذا.
Hum se Ishaq bin Nadr ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abd-ul-Razzaq ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Mamar ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Saeed bin al-Musayyab ne aur unhein in ke walid Musayyab razi Allahu anhu ne ke in ke walid (Hazn bin Abi Wahb) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke tumhara naam kya hai? Unhon ne bataya ke «hazn» (bamaani sakhti). Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum «sahl» (bamaani narmi) ho, phir unhon ne kaha ke mera naam mere walid rakh gaye hain usay main nahi badoon ga. Ibn Musayyab rahmahullah bayan karte thay ke chunanche hamare khandan mein baad tak hamesha sakhti aur museebat ka daur raha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6193
حدثنا إبراهيم بن موسى، حدثنا هشام، ان ابن جريج اخبرهم، قال: اخبرني عبد الحميد بن جبير بن شيبة، قال:" جلست إلى سعيد بن المسيب، فحدثني ان جده حزنا قدم على النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: ما اسمك؟ قال: اسمي حزن. قال:" بل انت سهل". قال: ما انا بمغير اسما سمانيه ابي. قال ابن المسيب: فما زالت فينا الحزونة بعد".
Hum se Ibrahim bin Musa ne bayan kiya, kaha hum se Hisham bin Yusuf ne bayan kiya, unhein Ibn Jurayj ne khabar di, kaha mujhko Abd-ul-Hameed bin Jubayr bin Shaybah ne khabar di, kaha ke main Saeed bin al-Musayyab ke paas baitha hua thu to unhon ne mujh se bayan kiya ke in ke dada Hazn Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke tumhara naam kya hai? Unhon ne kaha ke mera naam Hazn hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum Sahl ho, unhon ne kaha ke main to apne baap ka rakkha hua naam nahi badoon ga. Saeed bin al-Musayyab ne kaha is ke baad se ab tak hamare khandan mein sakhti aur museebat hi rahi. «hazoona» se sa'oobat murad hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة