الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأدب
Kitab: Akhlaq ke bayan mein
باب هجاء المشركين:
Mushrikon ki hijw karna durust hai.
Show diacritics
Hadith Number: 6150
حدثنا محمد، حدثنا عبدة، اخبرنا هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: استاذن حسان بن ثابت رسول الله صلى الله عليه وسلم في هجاء المشركين، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" فكيف بنسبي"، فقال حسان: لاسلنك منهم كما تسل الشعرة من العجين، وعن هشام بن عروة، عن ابيه، قال: ذهبت اسب حسان عند عائشة، فقالت:" لا تسبه، فإنه كان ينافح عن رسول الله صلى الله عليه وسلم".
Hum se Muhammad bin Salam ne bayan kiya , kaha hum se Abdah ne bayan kiya , kaha hum ko Hisham bin Urwah ne khabar di , unhein in ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne kaha ke Hassan bin Sabit razi Allahu anhu ne mushrikeen ki hajo karne ki ijazat chahi to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke in ka aur mera khandan to ek hi hai (phir to main bhi is hajo mein shareek ho jaoon ga) . Hassan razi Allahu anhu ne kaha ke main hajo se Aap ko is tarah saaf nikaal doon ga jis tarah gandhe huay aatay se baal nikaal liya jata hai . Aur Hisham bin Urwah se riwayat hai , in se in ke walid ne bayan kiya ke main Hassan bin Sabit razi Allahu anhu ko Aisha razi Allahu anha ki majlis mein bura kehne laga to unhon ne kaha ke Hassan ko bura bhala na kaho , woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki taraf se mushrikon ko jawab deta tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3531
حدثني عثمان بن ابي شيبة، حدثنا عبدة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" استاذن حسان النبي صلى الله عليه وسلم في هجاء المشركين، قال:" كيف بنسبي؟، فقال: حسان لاسلنك منهم كما تسل الشعرة من العجين، وعن ابيه، قال: ذهبت اسب حسان عند عائشة فقالت لا تسبه فإنه كان ينافح، عن النبي صلى الله عليه وسلم".
Mujh se Usman Bin Abi Shaibah ne bayan kiya, kaha hum se Abdah ne bayan kiya, un se Hisham ne, un se un ke walid ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke Hassan Bin Sabit (Radi Allahu Anhu) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se mushrikeen (Quraish) ki haju karne ki ijazat chahi to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke phir mein bhi to un hi ke khandan se hoon. Is par Hassan (Radi Allahu Anhu) ne arz kiya ke mein aap ko (sher mein) is tarah saaf nikal le jaoon ga jaise aatay mein se baal nikal liya jata hai. Aur (Hisham ne) apne walid se riwayat kiya ke unhon ne kaha, Aisha (Radi Allahu Anha) ke yahan mein Hassan (Radi Allahu Anhu) ko bura kehne laga to unhon ne farmaya, unhein bura na kaho, wo Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki taraf se mudafiat kiya karte thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة