الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأدب
Kitab: Akhlaq ke bayan mein
باب الزيارة ومن زار، قوما فطعم عندهم:
Mulaqaat ke liye jaana aur jo logon se milne gaya aur unheen ke yahan khana khaya to yeh jaiz hai.
Hadith Number: 6080
حدثنا محمد بن سلام، اخبرنا عبد الوهاب، عن خالد الحذاء، عن انس بن سيرين، عن انس بن مالك رضي الله عنه،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم زار اهل بيت من الانصار فطعم عندهم طعاما، فلما اراد ان يخرج امر بمكان من البيت فنضح له على بساط فصلى عليه ودعا لهم".
Hum se Muhammad bin Salam ne bayan kiya, kaha hum ko Abd-ul-Wahhab Saqafi ne khabar di, unhein Khalid Hazza ne, unhein Anas bin Sireen ne aur unhein Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam qabila Ansar ke gharana mein mulaqat ke liye tashreef le gaye aur unhi ke yahan khana khaya, jab Aap wapas tashreef laane lage to Aap ke hukm se ek chitayi par pani chhirka gaya aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is par namaz parhi aur ghar walon ke liye dua ki.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 670
حدثنا آدم، قال: حدثنا شعبة، قال: حدثنا انس بن سيرين، قال: سمعت انسا، يقول: قال رجل من الانصار: إني لا استطيع الصلاة معك وكان رجلا ضخما،" فصنع للنبي صلى الله عليه وسلم طعاما فدعاه إلى منزله، فبسط له حصيرا ونضح طرف الحصير صلى عليه ركعتين"، فقال رجل من آل الجارود لانس: اكان النبي صلى الله عليه وسلم يصلي الضحى، قال: ما رايته صلاها إلا يومئذ.
Hum se Aadam bin Abi Iyaas ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , kaha ke hum se Anas bin Sireen ne byaan kiya , kaha ke main ne Anas razi Allahu anhu se suna ke Ansar mein se ek mard ne uzr pesh kiya ke main Aap ke saath namaaz mein shareek nahi ho sakta aur woh mota aadmi tha . Us ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke liye khana tayyar kiya aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ko apne ghar dawat di aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ke liye ek chataai bichha di aur us ke ek kinaare ko (saaf kar ke) dho diya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne us boriye par do rakatein parheen . Aal Jarood ke ek shakhs (Abdul Hameed) ne Anas razi Allahu anhu se poocha ke kya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam chasht ki namaaz parhte thay to unhon ne farmaya ke us din ke siwa aur kabhi main ne Aap salla Allahu alaihi wasallam ko parhte nahi dekha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة