الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأدب
Kitab: Akhlaq ke bayan mein
باب ما يجوز من الهجران لمن عصى:
Nafarmani karne wale se ta'alluq torne ka joaz.
Hadith Number: 6078
حدثنا محمد، اخبرنا عبدة، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إني لاعرف غضبك ورضاك" قالت: قلت: وكيف تعرف ذاك يا رسول الله؟ قال:" إنك إذا كنت راضية قلت: بلى ورب محمد، وإذا كنت ساخطة قلت: لا ورب إبراهيم"، قالت: قلت: اجل لست اهاجر إلا اسمك".
Hum se Muhammad bin Salam ne bayan kiya, kaha hum ko Abdah bin Sulayman ne khabar di, unhein Hisham bin Urwah ne, unhein in ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”main tumhari narazgi aur khushi ko khoob pehchanta hoon.“ Umm al-Momineen ne bayan kiya ke main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Aap kis tarah se pehchante hain? Farmaya ke jab tum khush hoti ho kehti ho, haan Muhammad ke Rabb ki qasam! Aur jab naraz hoti ho to kehti ho nahi, Ibrahim ke Rabb ki qasam! Bayan kiya ke main ne arz kiya: ji haan, Aap ka farmana bilkul sahih hai main sirf Aap ka naam lena chhorrti hoon.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5228
حدثنا عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: قال لي رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إني لاعلم إذا كنت عني راضية وإذا كنت علي غضبى، قالت: فقلت: من اين تعرف ذلك؟ فقال: اما إذا كنت عني راضية، فإنك تقولين: لا ورب محمد، وإذا كنت علي غضبى، قلت: لا ورب إبراهيم، قالت: قلت: اجل، والله يا رسول الله ما اهجر إلا اسمك".
Hum se Ubayd bin Ismail ne byaan kiya, kaha hum se Abu Usamah ne byaan kiya, un se Hisham ne, un se un ke walid ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne mujh se farmaya ke main khoob pehchanta hoon ke kab tum mujh se khush hoti ho aur kab tum mujh par naraz ho jaati ho. Byaan kiya ke is par main ne arz kiya Aap yeh baat kis tarah samajhte hain? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum mujh se khush hoti ho to kehti ho nahi Muhammad (salla Allahu alaihi wasallam) ke Rabb ki qasam! Aur jab tum mujh se naraz hoti ho to kehti ho nahi Ibrahim alaihissalam ke Rabb ki qasam! Byaan kiya ke main ne arz kiya ji haan, Allah ki qasam ya Rasool Allah! (ghusse mein) sirf Aap ka naam zaban se nahi leti.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة