الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأدب
Kitab: Akhlaq ke bayan mein
باب من أثنى على أخيه بما يعلم:
Jo apne bhai ki (itni) tareef kare jitna woh jaanta hai.
Show diacritics
Hadith Number: 6062
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا موسى بن عقبة، عن سالم، عن ابيه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم حين ذكر في الإزار ما ذكر، قال ابو بكر: يا رسول الله،" إن إزاري يسقط من احد شقيه قال: إنك لست منهم".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya , kaha hum se Musa bin Uqbah ne bayan kiya , in se Salim ne aur in se in ke walid Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko izaar latkane ke baare mein jo kuch farmana tha jab Aap ne farmaya to Abu Bakr razi Allahu anhu ne arz kiya ke ya Rasool Allah! Mera tehband ek taraf se latakne lagta hai , to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum in takabbur karne walon mein se nahi ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3265
حدثنا إسماعيل بن ابي اويس، قال: حدثني مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" ناركم جزء من سبعين جزءا من نار جهنم، قيل: يا رسول الله، إن كانت لكافية، قال: فضلت عليهن بتسعة وستين جزءا كلهن مثل حرها".
Hum se Ismail Bin Abi Uwais ne bayan kiya, kaha ke mujh se Imam Maalik Rahimahullah ne bayan kiya, un se Abu-ul-Zinad ne, un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Tumhari (dunya ki) aag jahannum ki aag ke muqabale mein (apni garmi aur halakat kheezi mein) sattarwan hissa hai." Kisi ne pucha, Ya Rasul Allah! (Kuffar aur gunahgaron ke azab ke liye) ye hamari dunya ki aag bhi bahut thi. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Dunya ki aag ke muqabale mein jahannum ki aag unhattar guna badh kar hai."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة