الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأدب
Kitab: Akhlaq ke bayan mein
باب وضع الصبي على الفخذ:
Bache ko raan par bithana.
Hadith Number: 6003
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا عارم، حدثنا المعتمر بن سليمان، يحدث عن ابيه، قال: سمعت ابا تميمة، يحدث عن ابي عثمان النهدي، يحدثه ابو عثمان، عن اسامة بن زيد رضي الله عنهما، كان رسول الله صلى الله عليه وسلم" ياخذني فيقعدني على فخذه ويقعد الحسن على فخذه الاخرى، ثم يضمهما، ثم يقول: اللهم ارحمهما فإني ارحمهما"، وعن علي، قال: حدثنا يحيى، حدثنا سليمان، عن ابي عثمان، قال التيمي: فوقع في قلبي منه شيء قلت: حدثت به كذا وكذا فلم اسمعه من ابي عثمان، فنظرت فوجدته عندي مكتوبا فيما سمعت.
Hum se Abdullah bin Muhammad Musandi ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Aarim Muhammad bin Fadl ne bayan kiya, kaha hum se Mutamir bin Sulayman ne bayan kiya, kaha ke in se un ke walid ne bayan kiya, kaha ke main ne Abu Tameema se suna, woh Abu Usman Nahdi se bayan karte thay aur Abu Usman Nahdi ne kaha ke in se Usamah bin Zayd razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam mujhe apni ek raan par bithate thay aur Hasan razi Allahu anhu ko doosri raan par bithlate thay. Phir donon ko milaate aur farmate, Ae Allah! In donon par raham kar ke main bhi in par raham karta hoon. Aur Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya ke hum se Yahya ne bayan kiya, kaha hum se Sulayman Taymi ne bayan kiya, in se Abu Usman Nahdi ne isi hadees ko bayan kiya. Sulayman Taymi ne kaha jab Abu Tameema ne yeh hadees mujh se bayan ki Abu Usman Nahdi se to mere dil mein shak paida hua. Main ne Abu Usman se bahut si ahadees suni hain par yeh hadees kyun nahi suni phir main ne apni ahadees ki kitab dekhi to is mein yeh hadees Abu Usman Nahdi se likhi hui ku.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3735
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا معتمر، قال: سمعت ابي , حدثنا ابو عثمان، عن اسامة بن زيد رضي الله , عن النبي صلى الله عليه وسلم، انه كان ياخذه والحسن، فيقول:" اللهم احبهما فإني احبهما".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Mutamir ne bayan kiya, kaha ke mein ne apne baap se suna, kaha hum se Abu Usman ne bayan kiya, aur in se Usama bin Zaid Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam unhein aur Hasan Radi Allahu Anhu ko pakar lete aur farmate: Ae Allah! Tu unhein apna mahboob bana ke mein in se mohabbat karta hun.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة