الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب اللباس
Kitab: Libas ke bayan mein
باب الترجيل والتيمن:
Baalon mein kanghi karna.
Show diacritics
Hadith Number: 5926
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن اشعث بن سليم، عن ابيه، عن مسروق، عن عائشة، عن النبي صلى الله عليه وسلم" انه كان يعجبه التيمن ما استطاع في ترجله ووضوئه".
Hum se Abu al-Waleed ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Ash-as bin Sulaym ne, in se un ke walid ne, in se Masrooq ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam har kaam mein jahan tak mumkin hota dahni taraf se shuru karne ko pasand farmate thay, kangha karne aur wuzu karne mein bhi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 168
حدثنا حفص بن عمر، قال: حدثنا شعبة، قال: اخبرني اشعث بن سليم، قال: سمعت ابي، عن مسروق، عن عائشة، قالت:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يعجبه التيمن في تنعله وترجله وطهوره وفي شانه كله".
Hum se Hafs bin Umar ne bayan kiya, un se Sho’bah ne bayan kiya, unhein Ash’ath bin Sulaim ne khabar di, un ke baap ne Masrooq se suna, woh Umm-ul-Mo’mineen Aisha Siddiqah Radhiallahu Anha se riwayat karte hain ke woh farmaati hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam joota pahanne, kanghi karne, Wuzu karne aur apne har kaam mein daahni taraf se kaam ki ibtida karne ko pasand farmaaya karte the.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 426
حدثنا سليمان بن حرب، قال: حدثنا شعبة، عن الاشعث بن سليم، عن ابيه، عن مسروق، عن عائشة، قالت:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يحب التيمن ما استطاع في شانه كله في طهوره وترجله وتنعله".
Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya , kaha hum ko Shoba ne khabar di Ashath bin Sulaim ke wastay se , unhon ne Masrooq se , unhon ne Aisha raziyallahu anha se , aap farmati hain ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam apne tamam kamon mein jahan tak mumkin hota dayen taraf se shuru karne ko pasand farmate thay . Taharat ke waqt bhi , kanghi karne aur joota pehnne mein bhi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5380
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، اخبرنا شعبة، عن اشعث، عن ابيه، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: كان النبي صلى الله عليه وسلم" يحب التيمن ما استطاع في طهوره وتنعله وترجله، وكان قال بواسط قبل هذا في شانه كله".
Hum se Abdan ne bayan kiya , kaha hum ko Abdullah ne khabar di , kaha hum ko Shubah ne khabar di , unhein Ash-as ne , unhein un ke walid ne , unhein Masrooq ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jahan tak mumkin hota paaki haasil karne mein , joota pehnne aur kangha karne mein dahni taraf se ibtida karte . Ash-as is hadees ka rawi jab Wasit shehar mein tha to us ne is hadees mein yun kaha tha ke har ek kaam mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam dahni taraf se ibtida karte .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5854
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا شعبة، قال: اخبرني اشعث بن سليم، سمعت ابي، يحدث، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يحب التيمن في طهوره وترجله وتنعله".
Hum se Hajjaj bin Minhal ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mujhe Ash-as bin Sulaym ne khabar di ke main ne apne walid se suna , woh Masrooq se bayan karte thay aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam taharat mein kangha karne mein aur joota pehnne mein dahni taraf se shuru karne ko pasand farmate thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة