الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مواقيت الصلاة
Kitab: Auqat-e-namaz ke bayan mein
باب ما يصلى بعد العصر من الفوائت ونحوها:
Bab: Asr ke baad qaza namazen ya us ke manind masalan janaza ki namaz waghera parhna.
Hadith Number: 592
حدثنا موسى بن إسماعيل، قال: حدثنا عبد الواحد، قال: حدثنا الشيباني، قال: حدثنا عبد الرحمن بن الاسود، عن ابيه، عن عائشة، قالت:" ركعتان لم يكن رسول الله صلى الله عليه وسلم يدعهما سرا ولا علانية، ركعتان قبل صلاة الصبح وركعتان بعد العصر".
Hum se Moosa bin Ismail ne bayan kiya , kaha hum se Abdul Wahid bin Ziyad ne bayan kiya , kaha hum se Shaibani ne bayan kiya , kaha hum se Abdur Rahman bin Aswad ne bayan kiya , unhon ne apne walid se , unhon ne Aisha raziyallahu anha se ke aap ne farmaya ke do rakaton ko Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne kabhi tark nahi farmaya , posheeda ho ya aam logon ke samne , subah ki namaz se pehle do rakaten aur asr ki namaz ke baad do rakaten .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 590
حدثنا ابو نعيم، قال: حدثنا عبد الواحد بن ايمن، قال: حدثني ابي، انه سمع عائشة، قالت:" والذي ذهب به ما تركهما حتى لقي الله، وما لقي الله تعالى حتى ثقل عن الصلاة، وكان يصلي كثيرا من صلاته قاعدا تعني الركعتين بعد العصر، وكان النبي صلى الله عليه وسلم يصليهما، ولا يصليهما في المسجد مخافة ان يثقل على امته، وكان يحب ما يخفف عنهم".
Hum se Abu Naeem Fazl bin Dukain aur Moosa bin Ismail ne bayan kiya , un dono ne kaha ke hum se Hammam bin Yahya ne Qatada se bayan kiya , unhon ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se , unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se ke aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya agar koi namaz parhna bhool jaye to jab bhi yaad aaye is ko parh lay . Is qaza ke siwa aur koi kaffara is ki wajah se nahi hota . Aur Allah Taala ne farmaya ke namaz mere yaad aane par qaim kar . Moosa ne kaha ke hum se Hammam ne hadees bayan ki ke mein ne Qatada raziyallahu anhu se suna woh yun parhte thay namaz parh meri yaad ke liye . Hiban bin Hilal ne kaha , hum se Hammam ne bayan kiya , kaha hum se Qatada ne , kaha hum se Anas raziyallahu anhu ne , unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se , phir aisi hi hadees bayan ki .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة