الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مواقيت الصلاة
Kitab: Auqat-e-namaz ke bayan mein
باب ما يصلى بعد العصر من الفوائت ونحوها:
Bab: Asr ke baad qaza namazen ya us ke manind masalan janaza ki namaz waghera parhna.
Show diacritics
Hadith Number: 591
حدثنا مسدد، قال: حدثنا يحيى، قال: حدثنا هشام، قال: اخبرني ابي، قالت عائشة ابن اختي" ما ترك النبي صلى الله عليه وسلم السجدتين بعد العصر عندي قط".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne bayan kiya , kaha hum se Yahya Qattan ne bayan kiya , kaha hum se Hisham bin Urwah ne bayan kiya , kaha ke mujhe mere walid Urwah ne khabar di , kaha ke Aisha raziyallahu anha ne farmaya mere bhanje! Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne asr ke baad ki do rakaten mere yahan kabhi tark nahi ki .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 590
حدثنا ابو نعيم، قال: حدثنا عبد الواحد بن ايمن، قال: حدثني ابي، انه سمع عائشة، قالت:" والذي ذهب به ما تركهما حتى لقي الله، وما لقي الله تعالى حتى ثقل عن الصلاة، وكان يصلي كثيرا من صلاته قاعدا تعني الركعتين بعد العصر، وكان النبي صلى الله عليه وسلم يصليهما، ولا يصليهما في المسجد مخافة ان يثقل على امته، وكان يحب ما يخفف عنهم".
Hum se Abu Naeem Fazl bin Dukain aur Moosa bin Ismail ne bayan kiya , un dono ne kaha ke hum se Hammam bin Yahya ne Qatada se bayan kiya , unhon ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se , unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se ke aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya agar koi namaz parhna bhool jaye to jab bhi yaad aaye is ko parh lay . Is qaza ke siwa aur koi kaffara is ki wajah se nahi hota . Aur Allah Taala ne farmaya ke namaz mere yaad aane par qaim kar . Moosa ne kaha ke hum se Hammam ne hadees bayan ki ke mein ne Qatada raziyallahu anhu se suna woh yun parhte thay namaz parh meri yaad ke liye . Hiban bin Hilal ne kaha , hum se Hammam ne bayan kiya , kaha hum se Qatada ne , kaha hum se Anas raziyallahu anhu ne , unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se , phir aisi hi hadees bayan ki .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة