الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب اللباس
Kitab: Libas ke bayan mein
باب إخراج المتشبهين بالنساء من البيوت:
Zanano aur hijron ko jo auraton ki chaal dhaal ikhtiyar karte hain ghar se nikaal dena.
Hadith Number: 5887
حدثنا مالك بن إسماعيل، حدثنا زهير، حدثنا هشام بن عروة، ان عروة، اخبره، ان زينب ابنة ابي سلمة، اخبرته، ان ام سلمة، اخبرتها، ان النبي صلى الله عليه وسلم كان عندها وفي البيت مخنث، فقال لعبد الله اخي ام سلمة:" يا عبد الله إن فتح الله لكم غدا الطائف فإني ادلك على بنت غيلان، فإنها تقبل باربع وتدبر بثمان"، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا يدخلن هؤلاء عليكن"، قال ابو عبد الله: تقبل باربع وتدبر، يعني اربع عكن بطنها فهي تقبل بهن، وقوله: وتدبر بثمان، يعني اطراف هذه العكن الاربع، لانها محيطة بالجنبين حتى لحقت، وإنما قال: بثمان، ولم يقل بثمانية وواحد الاطراف وهو ذكر، لانه لم يقل ثمانية اطراف".
Hum se Malik bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Zuhayr ne bayan kiya, kaha hum se Hisham bin Urwah ne, unhein Urwah ne khabar di, unhein Zaynub bint Abi Salamah razi Allahu anha ne khabar di aur unhein Umm Salamah razi Allahu anha ne khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam in ke paas tashreef rakhte thay. Ghar mein ek mukhan-nas bhi tha, us ne Umm Salamah razi Allahu anhuma ke bhai Abdullah razi Allahu anhu se kaha Abdullah! Agar kal tumhein Taif par fatah haasil ho jaye to main tumhein bint Ghaylan (Badiya naami) ko dikhlaoon ga woh jab samne aati hai to (is ke motapay ki wajah se) char salwatein dikhayi deti hain aur jab peeth pheerti hai to aath salwatein dikhayi deti hain. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ab yeh shakhs tum logon ke paas na aaya kare. Abu Abdullah (Imam Bukhari rahmahullah) ne kaha ke samne se char salwaton ka matlab yeh hai ke (motay hone ki wajah se) is ke pait mein char salwatein pari hui hain aur jab woh samne aati hai to woh dikhayi deti hain aur aath salwaton se peeche phirti hai ka mafhoom hai (aage ki) in charon salwaton ke kinare kyunke yeh donon pehluon ko ghere huay hote hain aur phir woh mil jati hain aur hadees mein «bi-samani» ka lafz hai haalan ke az ro-e qaida e nahv ke «bi-samaniyatin» hona tha kyunke murad aath atraf yani kinare hain aur «al-atraf» , «taraf» ki jama hai aur «taraf» ka lafz muzakkar hai. Magar kyunke «al-atraf» ka lafz mazkoor na tha is liye «bi-samani» bhi kehna durust hua.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4324
حدثنا الحميدي، سمع سفيان، حدثنا هشام، عن ابيه، عن زينب بنت ابي سلمة، عن امها ام سلمة رضي الله عنها: دخل علي النبي صلى الله عليه وسلم وعندي مخنث، فسمعته يقول لعبد الله بن ابي امية:" يا عبد الله، ارايت إن فتح الله عليكم الطائف غدا، فعليك بابنة غيلان، فإنها تقبل باربع، وتدبر بثمان"، وقال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا يدخلن هؤلاء عليكن"، قال ابن عيينة: وقال ابن جريج: المخنث هيت.حدثنا محمود، حدثنا ابو اسامة، عن هشام بهذا، وزاد: وهو محاصر الطائف يومئذ.
Hum se Abdullah bin Zubayr Humaydi ne byaan kiya , kaha hum ne Sufyan bin Uyaynah se suna , un se Hisham bin Urwah ne byaan kiya , un se un ke walid ne , un se Zaynub bint Abi Salamah ne aur un se un ki walda Umm al-Momineen Umm Salamah razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam mere yahan tashreef laye to mere paas ek mukhannas baitha hua tha phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne suna ke woh Abdullah bin Umayyah se keh raha tha ke ae Abdullah! Dekho agar kal Allah Ta'ala ne Taif ki fatah tumhein ata farmayi to Ghaylan bin Salmah ki beti (Badiyah naami) ko le lena woh jab samne aati hai to pait par char bal aur peeth morr kar jati hai to aath bal dikhayi dete hain (yani bahut moti taza aurat hai) to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya yeh log ab tumhare ghar mein na aaya karein . Ibn Uyaynah ne byaan kiya ke Ibn Jurayj ne kaha , is mukhannas ka naam Hayt tha . Hum se Mahmood ne byaan kiya , un se Abu Usamah ne byaan kiya , un se Hisham ne isi tarah byaan kiya aur yeh izafa kiya hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is waqt Taif ka muasara kiye huay thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5235
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا عبدة، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن زينب بنت ام سلمة، عن ام سلمة،" ان النبي صلى الله عليه وسلم كان عندها وفي البيت مخنث، فقال المخنث لاخي ام سلمة عبد الله بن ابي امية: إن فتح الله لكم الطائف غدا ادلك على بنت غيلان فإنها تقبل باربع وتدبر بثمان، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: لا يدخلن هذا عليكن".
Hum se عثمin bin Abi Shaybah ne byaan kiya, kaha hum se Abdah bin Sulayman ne byaan kiya, un se Hisham bin Urwah ne, un se un ke walid ne, un se Zaynub bint Umm Salamah razi Allahu anha ne aur un se Umm al-Momineen Umm Salamah ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam un ke yahan tashreef rakhte thay, ghar mein ek Mugheeth naami mukhannas bhi tha. Is mukhannas (heejre) ne Umm Salamah ke bhai Abdullah bin Abi Umayyah razi Allahu anhu se kaha ke agar kal Allah ne tumhein Taif par fatah inayat farmayi to main tumhein Ghailan ki beti ko dikhlaoon ga kyunke woh samne aati hai to (mutapay ki wajah se) is ke char shiknein par jati hain aur jab peeche phirti hai to aath ho jati hain. Is ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (Umm Salamah se) farmaya ke yeh (mukhannas) tumhare paas ab na aaya kare.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة