الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب اللباس
Kitab: Libas ke bayan mein
باب لبس القسي:
Misr ka reshmi kapra pehnna mard ke liye kaisa hai.
Hadith Number: 5838
حدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا سفيان، عن اشعث بن ابي الشعثاء، حدثنا معاوية بن سويد بن مقرن، عن البراء بن عازب، قال:" نهانا النبي صلى الله عليه وسلم عن المياثر الحمر والقسي".
Hum se Muhammad bin Muqatil ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah ne khabar di, kaha hum ko Sufyan ne khabar di, unhein Ash-as bin Abi Shas-sa ne, in se Muawiyah bin Suwayd bin Muqarrin ne bayan kiya aur in se Ibn Azib razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hamain surkh «maysarah» aur «qasi-yu» ke pehnne se mana farmaya hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1239
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن الاشعث , قال: سمعت معاوية بن سويد بن مقرن، عن البراء رضي الله عنه , قال:" امرنا النبي صلى الله عليه وسلم بسبع ونهانا عن سبع، امرنا: باتباع الجنائز , وعيادة المريض , وإجابة الداعي , ونصر المظلوم , وإبرار القسم , ورد السلام , وتشميت العاطس، ونهانا عن: آنية الفضة , وخاتم الذهب , والحرير , والديباج , والقسي , والإستبرق".
Hum se Abu al-Numan ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , un se Ashath bin Abil Shatha ne , unhon ne kaha ke main ne Muawiya bin Suwayd Muqrin se suna , woh Bara bin Azib razi Allahu anhu se naqal karte thay ke humein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne saat kaamon ka hukm diya aur saat kaamon se roka . Humein Aap salla Allahu alaihi wasallam ne hukm diya tha janaza ke saath chalne , mareez ki mizaj pursi , dawat qabool karne , mazloom ki madad karne ka , qasam poori karne ka , salam ka jawab dene ka , chheenk par «yarhamukallah» kehne ka aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ne humein mana kiya tha chaandi ke bartan (istemal mein laane) se , sone ki angoothi pehnne se , resham aur deebaj (ke kapron ke pehnne) se , qasi se , istabraq se .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة