الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب اللباس
Kitab: Libas ke bayan mein
باب القباء وفروج حرير:
Qaba aur reshmi farooj ke bayaan mein.
Hadith Number: 5801
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا الليث، عن يزيد بن ابي حبيب، عن ابي الخير، عن عقبة بن عامر رضي الله عنه انه قال:" اهدي لرسول الله صلى الله عليه وسلم فروج حرير، فلبسه ثم صلى فيه، ثم انصرف فنزعه نزعا شديدا كالكاره له، ثم قال: لا ينبغي هذا للمتقين"، تابعه عبد الله بن يوسف، عن الليث، وقال غيره، فروج حرير.
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya , in se Yazid bin Abi Habeeb ne , in se Abu al-Khair ne aur in se Uqbah bin Aamir razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko resham ki farauj (qaba) hadiya mein di gayi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne usay pehna (resham ka mardon ke liye hurmat ke hukm se pehle) aur isi ko pehne huay namaz parhi . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne usay bari teizi ke saath utar dala jaise Aap is se nagowari mehsoos karte hon phir farmaya ke yeh muttaqiyon ke liye munasib nahi hai . Is riwayat ki mutabia-t Abdullah bin Yusuf ne ki in se Layth ne aur Abdullah bin Yusuf ke alawa doosron ne kaha ke «farauj e hareer» .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 375
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: حدثنا الليث، عن يزيد، عن ابي الخير، عن عقبة بن عامر، قال:" اهدي إلى النبي صلى الله عليه وسلم فروج حرير، فلبسه فصلى فيه، ثم انصرف فنزعه نزعا شديدا كالكاره له، وقال: لا ينبغي هذا للمتقين".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, kaha ke hum se Laith bin Saad ne Yazid bin Habib se bayan kiya, unhon ne Abu al-Khair Marsad se, unhon ne Uqbah bin Aamir se, unhon ne kaha ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ko ek resham ki quba tuhfa mein di gayi. Ise Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne pehna aur namaz padhi lekin Aap Sallallahu Alaihi Wasallam jab namaz se farigh hue to badi tezi ke sath ise utar diya. Goya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ise pehen kar nagowari mehsoos kar rahe thay. Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya yeh parhezgaron ke layak nahi hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة