الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب اللباس
Kitab: Libas ke bayan mein
باب جبة الصوف فى الغزو:
Laraai mein oon ka jubba pehnna.
Hadith Number: 5799
حدثنا ابو نعيم، حدثنا زكرياء، عن عامر، عن عروة بن المغيرة، عن ابيه رضي الله عنه، قال:" كنت مع النبي صلى الله عليه وسلم ذات ليلة في سفر، فقال: امعك ماء؟ قلت: نعم، فنزل عن راحلته فمشى حتى توارى عني في سواد الليل، ثم جاء، فافرغت عليه الإداوة، فغسل وجهه ويديه، وعليه جبة من صوف، فلم يستطع ان يخرج ذراعيه منها حتى اخرجهما من اسفل الجبة، فغسل ذراعيه، ثم مسح براسه، ثم اهويت لانزع خفيه، فقال: دعهما، فإني ادخلتهما طاهرتين"، فمسح عليهما.
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya , kaha hum se Zakariya ne bayan kiya , in se Aamir ne , in se Urwah bin Mugheera ne aur in se un ke walid Mugheera razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ek raat safar mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath tha Aap ne daryaft farmaya tumhare paas pani hai ? Main ne arz kiya ke ji haan . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apni sawari se utre aur chalte rahe yahan tak ke raat ki tareeki mein Aap chhup gaye phir wapas tashreef laaye to main ne bartan ka pani Aap ko istemal karaya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apna chehra dhoya , hath dhoye Aap oon ka jubba pehne huay thay jis ki aastin charhani Aap ke liye dushwar thi chunanche Aap ne apne hath jubbe ke neeche se nikale aur baazuon ko (kohniyon tak) dhoya . Phir sar par masah kiya phir main barha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke mozay utar doon lekin Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke rehne do main ne taharat ke baad unhein pehna tha chunanche Aap ne in par masah kiya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 182
حدثنا عمرو بن علي، قال: حدثنا عبد الوهاب، قال: سمعت يحيى بن سعيد، قال: اخبرني سعد بن إبراهيم، ان نافع بن جبير بن مطعم اخبره، انه سمع عروة بن المغيرة بن شعبة يحدث، عن المغيرة بن شعبة،" انه كان مع رسول الله صلى الله عليه وسلم في سفر، وانه ذهب لحاجة له، وان مغيرة جعل يصب الماء عليه وهو يتوضا، فغسل وجهه ويديه ومسح براسه ومسح على الخفين".
Hum se ’Amr bin ’Ali ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdul Wahhab ne bayan kiya, unhon ne kaha main ne Yahya bin Sa’eed se suna, unhon ne kaha mujhe Sa’d bin Ibrahim ne Nafe’ bin Jubair bin Mut’im se batlaaya. Unhon ne Urwah bin Mughira bin Sho’bah se suna, woh Mughira bin Sho’bah Radhiallahu Anhu se naql karte hain ke woh ek safar mein Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath the. (Wahaan) Aap rafa-e-haajat ke liye tashreef le gaye (jab Aap waapas aaye, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Wuzu shuru kiya) to Mughira bin Sho’bah Aap ke (aazaa-e-Wuzu) par paani daalne lage. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Wuzu kar rahe the Aap ne apne munh aur haathon ko dhoya, sar ka masah kiya aur mozon par masah kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 206
حدثنا ابو نعيم، قال: حدثنا زكرياء، عن عامر، عن عروة بن المغيرة، عن ابيه، قال: كنت مع النبي صلى الله عليه وسلم في سفر فاهويت لانزع خفيه، فقال:" دعهما، فإني ادخلتهما طاهرتين، فمسح عليهما".
Hum se Abu Nu’aim ne bayan kiya, kaha hum se Zakariyya ne Yahya ke waaste se naql kiya, woh Amir se woh ’Urwah bin Mugheerah se, woh apne baap (Mugheerah) se riwayat karte hain ke main ek safar mein Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath tha, to main ne chaaha (ke Wuzu karte waqt) Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke moze utaar daalun. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke inhein rahne do. Choonke jab main ne unhein pehna tha to mere paaon paak the. (Yani main Wuzu se tha) pas Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne un par masah kiya۔
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة