الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مواقيت الصلاة
Kitab: Auqat-e-namaz ke bayan mein
باب من أدرك من الفجر ركعة:
Bab: Fajr ki ek rak’at ka pane wala.
Show diacritics
Hadith Number: 579
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن زيد بن اسلم، عن عطاء بن يسار، وعن بسر بن سعيد، وعن الاعرج يحدثونه، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" من ادرك من الصبح ركعة قبل ان تطلع الشمس فقد ادرك الصبح، ومن ادرك ركعة من العصر قبل ان تغرب الشمس فقد ادرك العصر".
Hum se Abdullah bin Maslama Qanabi ne bayan kiya Imam Malik se , unhon ne Zaid bin Aslam se , unhon ne Ata bin Yasar aur Busr bin Saeed aur Abdur Rahman bin Harmuz Araj se , un teeno ne Abu Hurairah raziyallahu anhu ke wastay se bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke jis ne fajr ki ek rakat jamaat ke sath sooraj nikalne se pehle pa li is ne fajr ki namaz bajamaat ka sawab pa liya . Aur jis ne asr ki ek rakat jamaat ke sath sooraj doobne se pehle pa li , is ne asr ki namaz bajamaat ka sawab pa liya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 556
حدثنا ابو نعيم، قال: حدثنا شيبان، عن يحيى، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا ادرك احدكم سجدة من صلاة العصر قبل ان تغرب الشمس فليتم صلاته، وإذا ادرك سجدة من صلاة الصبح قبل ان تطلع الشمس فليتم صلاته".
Hum se Abu Naeem ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Shaiban ne Yahya bin Abi Kathir se , unhon ne Abu Salama se , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke agar asr ki namaz ki ek rakat bhi koi shakhs sooraj ghuroob hone se pehle pa saka to poori namaz parhe is ki namaz ada hui na qaza isi tarah agar sooraj tulu hone se pehle fajr ki namaz ki ek rakat bhi pa sake to poori namaz parhe .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 580
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن ابي سلمة بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" من ادرك ركعة من الصلاة فقد ادرك الصلاة".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tinnisi ne bayan kiya , kaha hum se Imam Malik rahimahullah alaihi ne Ibn Shihab se , unhon ne Abu Salama bin Abdur Rahman bin Awf raziyallahu anhu se unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke jis ne ek rakat namaz bajamaat pa li is ne namaz bajamaat ka sawab pa liya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة