الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الطب
Kitab: Dawa aur ilaj ke bayan mein
باب لا عدوى:
Amraaz mein chhoot lagne ki koi haqeeqat nahin hai.
Hadith Number: 5775
وعن الزهري، قال: اخبرني سنان بن ابي سنان الدؤلي، ان ابا هريرة رضي الله عنه، قال: إن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" لا عدوى"، فقام اعرابي فقال: ارايت الإبل تكون في الرمال امثال الظباء، فياتيها البعير الاجرب فتجرب، قال النبي صلى الله عليه وسلم" فمن اعدى الاول".
Aur Zuhri se riwayat hai, unhon ne bayan kiya ke mujhe Sinan bin Abi Sinan al-Duwali ne khabar di aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke chhoot koi cheez nahi hai. Is par ek dehati ne kharay ho kar poochha Aap ne dekha ho ga ke ek oont registaan mein haran jaisa saaf rehta hai lekin jab wahi ek kharish wale oont ke paas aa jata hai to usay bhi kharish ho jati hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya lekin pehle oont ko kis ne kharish lagayi thi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5707
وقال عفان، حدثنا سليم بن حيان، حدثنا سعيد بن ميناء، قال: سمعت ابا هريرة يقول، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا عدوى ولا طيرة، ولا هامة ولا صفر، وفر من المجذوم كما تفر من الاسد"
Aur Affan bin Muslim (Imam Bukhari rahmahullah ke shaykh) ne kaha (in ko Abu Nuaym ne wasl kiya) hai ke hum se Sulaim bin Hayyan ne bayan kiya, in se Saeed bin Mina ne bayan kiya, kaha ke main ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke chhoot lagna, bad-shuguni lena, ullu ka manhoos hona aur Safar ka manhoos hona yeh sab lagh-v khayalaat hain albatta juzami shakhs se aise bhaagta reh jaise ke sher se bhaagta hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة