الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الطب
Kitab: Dawa aur ilaj ke bayan mein
باب لا هامة:
Ullu ka manhoos hona mahaz ghalat hai.
Show diacritics
Hadith Number: 5770
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا هشام بن يوسف، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا عدوى ولا صفر، ولا هامة"، فقال اعرابي: يا رسول الله فما بال الإبل تكون في الرمل كانها الظباء فيخالطها البعير الاجرب، فيجربها، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" فمن اعدى الاول".
Mujh se Abdullah bin Muhammad Musandi ne bayan kiya, kaha hum se Hisham bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hamain ko Mamar ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Abu Salamah bin Abdur Rahman bin Auf ne, in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke chhoot lag jaana, Safar ki nahusat aur ullu ki nahusat koi cheez nahi. Ek dehati ne kaha: ya Rasool Allah! Phir is oont ke mutalliq kya kaha jaye ga jo registaan mein haran ki tarah saaf chamakdar hota hai lekin kharish wala oont usay mil jata hai aur usay bhi kharish laga deta hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya lekin pehle oont ko kis ne kharish lagayi thi?


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5707
وقال عفان، حدثنا سليم بن حيان، حدثنا سعيد بن ميناء، قال: سمعت ابا هريرة يقول، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا عدوى ولا طيرة، ولا هامة ولا صفر، وفر من المجذوم كما تفر من الاسد"
Aur Affan bin Muslim (Imam Bukhari rahmahullah ke shaykh) ne kaha (in ko Abu Nuaym ne wasl kiya) hai ke hum se Sulaim bin Hayyan ne bayan kiya, in se Saeed bin Mina ne bayan kiya, kaha ke main ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke chhoot lagna, bad-shuguni lena, ullu ka manhoos hona aur Safar ka manhoos hona yeh sab lagh-v khayalaat hain albatta juzami shakhs se aise bhaagta reh jaise ke sher se bhaagta hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة