الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الطب
Kitab: Dawa aur ilaj ke bayan mein
باب ما يذكر فى الطاعون:
Taa'oon ka bayaan.
Hadith Number: 5733
حدثنا ابو عاصم، عن مالك، عن سمي، عن ابي صالح، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" المبطون شهيد والمطعون شهيد".
Hum se Abu Aasim ne bayan kiya, in se Imam Malik ne, in se Sumay ne, in se Abu Salih ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke pait ki beemari mein yani haiza se marne wala shaheed hai aur taoon ki beemari mein marne wala shaheed hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 653
ثم قال: الشهداء خمسة المطعون والمبطون والغريق وصاحب الهدم والشهيد في سبيل الله، وقال: لو يعلم الناس ما في النداء والصف الاول، ثم لم يجدوا إلا ان يستهموا لاستهموا عليه.
Phir Aap ne farmaya ke shuhada paanch qism ke hotay hain . Taaun mein marne wale , pet ke aarizay (haiza waghera) mein marne wale aur doob kar marne wale aur jo deewar waghera kisi bhi cheez se dab kar mar jaye aur Allah ke raaste mein (jihad karte huay) shaheed hone wale aur Aap ne farmaya ke agar logon ko maloom ho jaye ke azaan dene aur pehli saf mein shareek hone ka sawab kitna hai aur phir us ke siwa koi chara kaar na ho ke qurah dala jaye to log un ke liye qurah hi dala karen .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة