الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الطب
Kitab: Dawa aur ilaj ke bayan mein
باب الدواء بالعسل:
Shahad ke zariye ilaaj karna aur fazail shahad mein.
Hadith Number: 5684
حدثنا عياش بن الوليد، حدثنا عبد الاعلى، حدثنا سعيد، عن قتادة، عن ابي المتوكل، عن ابي سعيد:" ان رجلا اتى النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: اخي يشتكي بطنه، فقال: اسقه عسلا، ثم اتى الثانية، فقال: اسقه عسلا، ثم اتاه الثالثة،: فقال: اسقه عسلا، ثم اتاه، فقال: قد فعلت، فقال: صدق الله وكذب بطن اخيك، اسقه عسلا، فسقاه فبرا".
Hum se Ay-yash bin al-Waleed ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-A'la ne, kaha hum se Saeed ne, in se Qatadah ne, in se Abu al-Mutawakkil ne aur in se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne ke ek sahab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur arz kiya ke mera bhai pait ki takleef mein mubtala hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke unhein shehad pila phir doosri martaba wahi sahabi hazir huay. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne usay is martaba bhi shehad pilane ke liye kaha woh phir teesri martaba aaya aur arz kiya ke (hukm ke mutabiq) main ne amal kiya (lekin shifa nahi hui). Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala sacha hai aur tumhare bhai ka pait jhoota hai, unhein phir shehad pila. Chunanche unhon ne shehad phir pilaya aur isi se woh tandurust ho gaya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5716
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا محمد بن جعفر، حدثنا شعبة، عن قتادة، عن ابي المتوكل، عن ابي سعيد، قال:" جاء رجل إلى النبي صلى الله عليه وسلم، قال: إن اخي استطلق بطنه، فقال: اسقه عسلا، فسقاه، فقال: إني سقيته، فلم يزده إلا استطلاقا، فقال: صدق الله وكذب بطن اخيك"، تابعه النضر، عن شعبة.
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad bin Jafar ne bayan kiya, in se Shubah ne bayan kiya, in se Qatadah ne, in se Abu al-Mutawakkil ne aur in se Abu Saeed razi Allahu anhu ne ke ek sahab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur arz kiya ke mere bhai ko dast aa rahe hain Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke unhein shehad pilao. Unhon ne pilaya aur phir wapas aa kar kaha ke main ne unhein shehad pilaya lekin in ke daston mein koi kami nahi hui. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne is par farmaya ke Allah Ta'ala ne sach farmaya aur tumhare bhai ka pait jhoota hai (aakhir shehad hi se usay shifa hui). Muhammad bin Jafar ke saath is hadees ko Nadr bin Shumayl ne bhi Shubah se riwayat kiya hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة