الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مواقيت الصلاة
Kitab: Auqat-e-namaz ke bayan mein
باب وقت المغرب:
Bab: Maghrib ki namaz ke waqt ka bayan.
Hadith Number: 562
حدثنا آدم، قال: حدثنا شعبة، قال: حدثنا عمرو بن دينار، قال: سمعت جابر بن زيد، عن عبد الله بن عباس، قال:" صلى النبي صلى الله عليه وسلم سبعا جميعا وثمانيا جميعا".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya , kaha hum se Shoba ne bayan kiya , kaha hum se Amr bin Dinar ne bayan kiya , kaha mein ne Jabir bin Zaid se suna , woh Ibn Abbas raziyallahu anhuma ke wastay se bayan karte thay . Aap ne farmaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne saat rakaten maghrib aur isha ki ek sath aath rakaten zuhr aur asr ki namazen ek sath parhin .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 543
حدثنا ابو النعمان، قال: حدثنا حماد هو ابن زيد، عن عمرو بن دينار، عن جابر بن زيد، عن ابن عباس،" ان النبي صلى الله عليه وسلم صلى بالمدينة سبعا وثمانيا الظهر والعصر والمغرب والعشاء"، فقال ايوب: لعله في ليلة مطيرة، قال: عسى.
Hum se Abul Numan ne bayan kiya , kaha hum se Hammad bin Zaid ne Amr bin Dinar se . Unhon ne Jabir bin Zaid se , unhon ne Ibn Abbas raziyallahu anhuma se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne Madina mein reh kar saat rakaten ek sath aur aath rakaten ek sath parhin . Zuhr aur asr ki aath rakaten aur maghrib aur isha ki saat rakaten Ayyub Sakhtiyani ne Jabir bin Zaid se poocha shayad barsaat ka mausam raha ho . Jabir bin Zaid ne jawab diya ke ghaliban aisa hi ho ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1174
حدثنا علي بن عبد الله , قال: حدثنا سفيان، عن عمرو , قال: سمعت ابا الشعثاء جابرا , قال: سمعت ابن عباس رضي الله عنهما , قال:" صليت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم ثمانيا جميعا وسبعا جميعا , قلت: يا ابا الشعثاء اظنه اخر الظهر وعجل العصر وعجل العشاء واخر المغرب، قال: وانا اظنه".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , kaha ke hum se Sufyan bin Uyaynah ne Amr bin Dinar se byaan kiya , unhon ne kaha ke mein ne Abul Shatha Jabir bin Abdullah se suna , unhon ne byaan kiya ke mein ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna , unhon ne kaha ke mein ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath aath rakat ek saath (Zohar aur Asar) aur saat rakat ek saath (Maghrib aur Isha mila kar) parhein . (beech mein sunnat waghaira kuch nahin) Abul Shatha se mein ne kaha mera khayal hai ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne Zohar aakhir waqt mein aur Asar awwal waqt mein parhi ho gi . Isi tarah Maghrib aakhir waqt mein parhi ho gi aur Isha awwal waqt mein . Abul Shatha ne kaha ke mera bhi yehi khayal hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة