الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأشربة
Kitab: Mashrubat ke bayan mein
باب شرب اللبن:
Doodh peena.
Hadith Number: 5610
وقال إبراهيم بن طهمان، عن شعبة، عن قتادة، عن انس بن مالك، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" رفعت إلى السدرة فإذا اربعة انهار نهران ظاهران ونهران باطنان، فاما الظاهران: النيل والفرات، واما الباطنان فنهران في الجنة، فاتيت بثلاثة اقداح قدح فيه لبن، وقدح فيه عسل، وقدح فيه خمر، فاخذت الذي فيه اللبن فشربت، فقيل لي: اصبت الفطرة انت وامتك"، قال هشام، وسعيد، وهمام: عن قتادة، عن انس بن مالك، عن مالك بن صعصعة، عن النبي صلى الله عليه وسلم: في الانهار نحوه، ولم يذكروا، ثلاثة اقداح.
Aur Ibrahim bin Tahman ne kaha ke in se Shubah ne , in se Qatadah ne aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne bayan kiya , in se Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab mujhe Sidrat-ul-Muntaha tak le jaya gaya to wahan main ne char nahrein dekhein . Do zhahiri nahrein aur do baatini . Zhahiri nahrein to Neel aur Furat hain aur baatini nahrein jannat ki do nahrein hain . Phir meere paas teen piyale laaye gaye ek piyale mein doodh thu , doosre mein shehad thu aur teesre mein sharab ku . Main ne woh piyala liya jis mein doodh thu aur piya . Is par mujh se kaha gaya ke tum ne aur tumhari ummat ne asal fitrat ko pa liya . Hisham , Saeed aur Humam ne Qatadah se , unhon ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se , unhon ne Malik bin Sasa'a razi Allahu anhu se yeh hadees riwayat ki hai . Is mein nadiyon ka zikr to aisa hi hai lekin teen piyalon ka zikr nahi hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 211
حدثنا يحيى بن بكير وقتيبة، قالا: حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، عن ابن عباس، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم شرب لبنا فمضمض، وقال: إن له دسما"، تابعه يونس، وصالح بن كيسان، عن الزهري.
Hum se Yahya bin Bukair aur Qutaibah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Laith ne bayan kiya, woh Uqail se, woh Ibn-e-Shihaab se, woh Ubaidullah bin Abdullah bin ’Utbah se, woh Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma se riwayat karte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne doodh piya, phir kulli ki aur farmaaya is mein chiknaayi hoti hai. Is Hadees mein Uqail ki Younus aur Saleh bin Kaisaan ne Zohri se Mutaba’at ki hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3570
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني اخي، عن سليمان، عن شريك بن عبد الله بن ابي نمر سمعت انس بن مالك يحدثنا، عن ليلة اسري بالنبي صلى الله عليه وسلم من مسجد الكعبة جاءه ثلاثة نفر قبل ان يوحى إليه وهو نائم في مسجد الحرام، فقال" اولهم ايهم هو، فقال: اوسطهم هو خيرهم، وقال: آخرهم خذوا خيرهم فكانت تلك فلم يرهم حتى جاءوا ليلة اخرى، فيما يرى قلبه والنبي صلى الله عليه وسلم نائمة عيناه ولا ينام قلبه، وكذلك الانبياء تنام اعينهم ولا تنام قلوبهم، فتولاه جبريل ثم عرج به إلى السماء".
Hum se Ismail bin Abi Uwais ne bayan kiya, kaha ke mujh se mere bhai (Abdul Hameed) ne bayan kiya, un se Sulaiman bin Bilal ne, un se Shareek bin Abdullah bin Abi Namr ne, unhon ne Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se suna woh Masjid al-Haram se Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki Meraj ka waqia bayan kar rahe thay ke (Meraj se pehle) teen farishte aaye. Yeh Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam par wahi nazil hone se bhi pehle ka waqia hai. Is waqt Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam Masjid al-Haram mein (do aadmiyon Hamza aur Ja'far bin Abi Talib ke darmiyan) so rahe thay. Ek farishte ne poocha: Woh kon hain? (jin ko le jane ka hukm hai) Doosre ne kaha ke woh darmiyan wale hain. Wahi sab se behtar hain. Teesre ne kaha ke phir jo sab se behtar hain unhein sath le chalo. Is raat sirf itna hi waqia ho kar reh gaya. Phir Aap ne unhein nahi dekha. Lekin farishte ek aur raat mein aaye. Aap dil ki nigah se dekhte thay aur Aap ki aankhein soti thin par dil nahi sota tha, aur tamam ambiya ki yahi kaifiyat hoti hai ke jab un ki aankhein soti hain to dil is waqt bhi bedar hota hai. Gharaz ke phir Jibrail Alaihis Salam ne Aap ko apne sath liya aur aasman par charha le gaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة