الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأشربة
Kitab: Mashrubat ke bayan mein
باب ما جاء فى أن الخمر ما خامر العقل من الشراب:
Is baare mein ke jo bhi peene wali cheez aql ko madhosh kar de woh "khamr" hai.
Show diacritics
Hadith Number: 5589
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، عن عبد الله بن ابي السفر، عن الشعبي، عن ابن عمر، عن عمر، قال:" الخمر يصنع من خمسة: من الزبيب، والتمر، والحنطة، والشعير، والعسل".
Hum se Hafs bin Umar ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne bayan kiya , in se Abdullah bin Abi al-Safar ne bayan kiya , in se Shabi ne in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Umar razi Allahu anhu ne kaha ke sharab paanch cheezon se banti ku kishmish , khajoor , gehoon , jau aur shehad se .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4619
حدثنا إسحاق بن إبراهيم الحنظلي، اخبرنا عيسى، وابن إدريس، عن ابي حيان، عن الشعبي، عن ابن عمر، قال: سمعت عمر رضي الله عنه على منبر النبي صلى الله عليه وسلم يقول:" اما بعد ايها الناس، إنه نزل تحريم الخمر، وهي من خمسة: من العنب، والتمر، والعسل، والحنطة، والشعير، والخمر ما خامر العقل".
Hum se Ishaq bin Ibrahim Hanzali ne bayan kiya , unhone kaha hum ko Isa aur Ibn Idrees ne khabar di , unhein Abu Hayyan ne , unhein Sha'bi ne aur un se Abdullah bin Umar rz ne bayan kiya ke main ne Umar rz se suna , woh Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke minbar par khare farma rahe thay . Ammaba'd! Ae logo! Jab sharab ki hurmat nazil hui to woh panch cheezon se tayyar ki jati thi . Angoor , khajoor , shehad , gehun aur jau se aur sharab har woh peene ki cheez hai jo aql ko zail kar de .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة