الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الذبائح والصيد
Kitab: Zabeeh aur shikar ke bayan mein
باب الأرنب:
Khargosh ka gosht halaal hai.
Hadith Number: 5535
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن هشام بن زيد، عن انس رضي الله عنه، قال:" انفجنا ارنبا ونحن بمر الظهران، فسعى القوم فلغبوا، فاخذتها، فجئت بها إلى ابي طلحة، فذبحها، فبعث بوركيها، او قال: بفخذيها إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقبلها".
Hum se Abu al-Waleed ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Hisham bin Zayd ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke hum ne ek khargosh ka peecha kiya. Hum Mar-uz-Zahran mein thay. Log is ke peeche dore aur thak gaye phir main ne usay pakar liya aur usay Abu Talha razi Allahu anhu ke paas laya. Unhon ne usay zibah kiya aur is ke donon kolhe ya (rawi ne bayan kiya ke) is ki donon raanein Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ke paas bheijiein aur Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne unhein qabool farmaya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2572
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن هشام بن زيد بن انس بن مالك، عن انس رضي الله عنه، قال: انفجنا ارنبا بمر الظهران، فسعى القوم فلغبوا، فادركتها، فاخذتها، فاتيت بها ابا طلحة، فذبحها، وبعث بها إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم بوركها او فخذيها، قال:" فخذيها لا شك فيه"، فقبله. قلت: واكل منه، قال: واكل منه، ثم قال بعد: قبله.
Hum se Suleman Bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Hisham Bin Zaid Bin Anas Bin Malik ne aur un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Marr-uz-Zahran nami jagah mein hum ne ek khargosh ka peecha kiya. Log (is ke peeche) daure aur ise thaka diya aur mein ne qareeb pahunch kar ise pakar liya. Phir Abu Talha (Radi Allahu Anhu) ke haan laya. Unhon ne ise zibah kiya aur is ke peeche ka ya donon raanon ka gosht Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein bheja. (Shuba ne baad mein yaqeen ke sath) kaha ke donon raanein unhon ne bheji theen, is mein koi shak nahi. Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ise qabool farmaya tha mein ne poocha aur is mein se Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne kuch tanawul bhi farmaya? Unhon ne bayan kiya ke han! kuch tanawul farmaya tha. Is ke baad phir unhon ne kaha ke Aap ne wo hadiya qabool farma liya tha
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5489
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن شعبة، قال: حدثني هشام بن زيد، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال:" انفجنا ارنبا بمر الظهران فسعوا عليها حتى لغبوا فسعيت عليها حتى اخذتها فجئت بها إلى ابي طلحة فبعث إلى النبي صلى الله عليه وسلم بوركيها او فخذيها فقبله".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne bayan kiya, in se Shubah ne bayan kiya, in se Hisham bin Zayd ne bayan kiya aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Mar-uz-Zahran (Makkah ke qareeb ek maqam) mein hum ne ek khargosh ko ubhara log is ke peeche dore magar na paya phir main is ke peeche laga aur main ne usay pakar liya aur usay Abu Talha razi Allahanhu paas laya, unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein is ka kolha aur donon raanein bheijiein to Aap ne unhein qabool farma liya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة