الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأطعمة
Kitab: Khanon ke bayan mein
باب القديد:
Sookhe kiye hue gosht ke tukre ka bayaan.
Hadith Number: 5438
حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن عبد الرحمن بن عابس، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" ما فعله إلا في عام جاع الناس اراد ان يطعم الغني الفقير، وإن كنا لنرفع الكراع بعد خمس عشرة وما شبع آل محمد صلى الله عليه وسلم من خبز بر مادوم ثلاثا".
Hum se Qubaysah ne bayan kiya , in se Sufyan ne bayan kiya , in se Abdur Rahman bin Aabis ne , in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne aisa kabhi nahi kiya ke teen din se zyada gosht qurbani wala rakhne se mana farmaya ho . Sirf is saal yeh hukm diya tha jis saal qahet ki wajah se log faqay mein mubtala thay . Maqsad yeh tha ke jo log ghani hain woh gosht muhtajon ko khilayein (aur jama kar ke na rakhein) aur hum to bakri ke paye mahfooz kar ke rakh lete thay aur pandrah din baad tak (khate thay) aur Aal e Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ne kabhi salan ke saath gehoon ki roti teen din tak barabar sair ho kar nahi khayi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5423
حدثنا خلاد بن يحيى، حدثنا سفيان، عن عبد الرحمن بن عابس، عن ابيه، قال: قلت لعائشة:" انهى النبي صلى الله عليه وسلم ان تؤكل لحوم الاضاحي فوق ثلاث؟ قالت: ما فعله إلا في عام جاع الناس فيه، فاراد ان يطعم الغني الفقير، وإن كنا لنرفع الكراع فناكله بعد خمس عشرة، قيل: ما اضطركم إليه؟ فضحكت، قالت: ما شبع آل محمد صلى الله عليه وسلم من خبز بر مادوم ثلاثة ايام حتى لحق بالله". وقال ابن كثير، اخبرنا سفيان، حدثنا عبد الرحمن بن عابس بهذا.
Hum se Khallad bin Yahya ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan ne , in se Abdur Rahman bin Aabis ne , in se un ke walid ne bayan kiya ke main ne Aisha razi Allahu anha se poochha kiya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne teen din se zyada qurbani ka gosht khane se mana kiya hai ? Unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne aisa kabhi nahi kiya . Sirf ek saal is ka hukm diya tha jis saal qahet para thu . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne chaha tha (is hukm ke zariye) ke jo maal wale hain woh (gosht mahfooz karne ke bajaye) muhtajon ko khila dein aur hum bakri ke paye mahfooz rakh lete thay aur usay pandrah pandrah din baad khate thay . In se poochha gaya ke aisa karne ke liye kiya majboori ku ? Is par Umm al-Momineen razi Allahu anha hans parrein aur farmaya Aal e Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ne salan ke saath gehoon ki roti teen din tak barabar kabhi nahi khayi yahan tak ke Aap Allah se ja mile . Aur Ibn Kaseer ne bayan kiya ke hamain Sufyan ne khabar di , in se Abdur Rahman bin Aabis ne yahi hadees bayan ki .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة