الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النفقات
Kitab: Kharcha dene ke bayan mein
باب فضل النفقة على الأهل:
Joru bachon par kharch karne ki fazeelat.
Hadith Number: 5352
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" قال الله: انفق يا ابن آدم انفق عليك".
Hum se Ismail bin Abi Oways ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Imam Malik ne byaan kiya , in se Abu al-Zinad ne , in se Aaraj ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala farmata hai ke Ae Ibn e Adam! Tu kharch kar to main tujhko diye jaoon ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4284
حدثنا ابو اليمان، حدثنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن عبد الرحمن، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" منزلنا إن شاء الله إذا فتح الله الخيف حيث تقاسموا على الكفر".
Hum se Abu al-Yaman ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha hum se Shuayb ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha hum se Abu al-Zinad ne byaan kiya ‘ un se Abdur Rahman ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”In sha Allah hamari qiyam gah agar Allah Ta'ala ne fatah inayat farmayi to Khayf Bani Kinanah mein ho gi . Jahan Quraysh ne kufr ki himayat ke liye qasam khayi thi .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4684
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال: قال الله عز وجل:" انفق، انفق عليك، وقال: يد الله ملاى لا تغيضها نفقة سحاء الليل والنهار، وقال: ارايتم ما انفق منذ خلق السماء والارض، فإنه لم يغض ما في يده، وكان عرشه على الماء، وبيده الميزان، يخفض، ويرفع". {اعتراك} افتعلت من عروته اي اصبته، ومنه يعروه واعتراني {آخذ بناصيتها} اي في ملكه وسلطانه. عنيد وعنود وعاند واحد، هو تاكيد التجبر، {استعمركم} جعلكم عمارا، اعمرته الدار فهي عمرى جعلتها له. {نكرهم} وانكرهم واستنكرهم واحد {حميد مجيد} كانه فعيل من ماجد. محمود من حمد. سجيل الشديد الكبير. سجيل وسجين واللام والنون اختان، وقال تميم بن مقبل: ورجلة يضربون البيض ضاحية ** ضربا تواصى به الابطال سجينا.
Hum se Abu al-Yaman ne byaan kiya , unhon ne kaha hum ko Shuayb ne khabar di , kaha hum se Abu al-Zinad ne byaan kiya , un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala farmata hai ke bando! (meri raah mein) kharch karo to main bhi tum par kharch karoon ga aur farmaya , Allah ka hath bhara hua hai . Raat aur din musalsal ke kharch se bhi is mein kam nahi hota aur farmaya tum ne dekha nahi jab se Allah ne aasman o zameen ko paida kiya hai , musalsal kharch kiye ja raha hai lekin is ke hath mein koi kami nahi hui , is ka Arsh pani par tha aur is ke hath mein mizan e adl hai jise woh jhukata aur uthata rehta hai . «iataraka» baab «iftia'al» se hai «arwatuhu» se yani main ne is ko pakar paya isi se hai . «yaruhu» muzare ka sigha aur «iataraani aakhizhu bi-naasiyatiha» yani is ki hukoomat aur qabza e qudrat mein hain . «aneedun» , «anoodun» aur «aanidun» sab ke maani ek hi hain yani sarkash mukhalif aur yeh «jabbarun» ki takeed hai . «istia'marakum» tum ko basaya , aabaad kiya . Arab log kehte hain «amartuhud-dara fahiya umra» yani yeh ghar main ne is ko umr bhar ke liye de dala . «nakirahum» , «ankarahum» aur «istankarahum» sab ke ek hi maani hain . Yani un ko pardesi samjha . «hameedun» , «fa'eelun» ke wazan par hai ba-maani «mahmoodun» mein saraha gaya aur «majeedun» , «maajidun» ke maani mein hai (yani karam karne wala) . «sijjeelun» aur «sijjeenun» donon ke maani sakht aur bara ke hain . «laam» aur «noon» behnein hain (ek doosre se badli jati hain) . Tamim bin Muqbil shair kehta hai . Baaze paidal din dhara-de khud par zarb lagate hain aaisi zarb jis ki sakhti ke liye bare bare pehlawan apne shagirdon ko wasiyat kiya karte hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة