الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الطلاق
Kitab: Talaq ke masail ka bayan
باب الكحل للحادة:
Bab: Aurat iddat mein surmah ka istimal na kare.
Show diacritics
Hadith Number: 5338
حدثنا آدم بن ابي إياس، حدثنا شعبة، حدثنا حميد بن نافع، عن زينب بنت ام سلمة، عن امها، ان امراة توفي زوجها، فخشوا على عينيها، فاتوا رسول الله صلى الله عليه وسلم، فاستاذنوه في الكحل، فقال: لا تكحل، قد كانت إحداكن تمكث في شر احلاسها او شر بيتها، فإذا كان حول فمر كلب رمت ببعرة، فلا حتى تمضي اربعة اشهر وعشر".
`Hum se Adam bin Abi Ayas ne bayan kiya, kaha hum se Shu'ba ne, kaha hum se Humaid bin Nafi' ne, un se Zainab bint Umm-e-Salama Radi Allahu Anha ne apni walida se ke ek aurat ke shohar ka intiqal ho gaya, is ke baad is ki aankh mein takleef hui to is ke ghar wale Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat mein hazir hue aur Aap se surma lagane ki ijazat mangi. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke surma (zamana-e-iddat mein) na lagao. (Zamana-e-jahiliyat mein) tumhein bad-tareen kapre mein waqt guzarna parta tha, ya (rawi ko shak tha ke yeh farmaya ke) bad-tareen ghar mein waqt (iddat) guzarna parta tha. Jab is tarah ek saal poora ho jata to is ke paas se kutta guzarta aur wo is par meingni phenkti (jab iddat se bahar aati) pas surma na lagao. Yahan tak ke chaar mahine das din guzar jayein.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5336
قالت زينب وسمعت ام سلمة تقول جاءت امراة إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم فقالت يا رسول الله إن ابنتي توفي عنها زوجها وقد اشتكت عينها افتكحلها فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: «لا» . مرتين او ثلاثا كل ذلك يقول لا، ثم قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: «إنما هي اربعة اشهر وعشر، وقد كانت إحداكن في الجاهلية ترمي بالبعرة على راس الحول» .
`Zainab bint Umm-e-Salama Radi Allahu Anha ne kaha ke mein ne Umm-e-Salama Radi Allahu Anha ko bhi yeh kehte suna ke ek khatoon Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke paas aayin aur arz kiya: ya Rasul Allah! meri larki ke shohar ka intiqal ho gaya hai aur is ki aankhon mein takleef hai to kya wo surma laga sakti hai? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne is par farmaya ke nahi, do teen martaba (Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne yeh farmaya) har martaba yeh farmate thay ke nahi! Phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke yeh (shar'i iddat) chaar mahine aur das din hi ki hai. Jahiliyat mein to tumhein saal bhar tak meingni phenkni parti thi (jab kahin iddat se bahar hoti thi).


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة