الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مواقيت الصلاة
Kitab: Auqat-e-namaz ke bayan mein
باب المصلي يناجي ربه عز وجل:
Bab: Is bare mein ke namaz parhne wala namaz mein apne Rabb se posheeda taur par baat-cheet karta hai.
Hadith Number: 532
حدثنا حفص بن عمر، قال: حدثنا يزيد بن إبراهيم، قال: حدثنا قتادة، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اعتدلوا في السجود ولا يبسط ذراعيه كالكلب، وإذا بزق فلا يبزقن بين يديه ولا عن يمينه فإنه يناجي ربه".
Hum se Hafs bin Umar ne bayan kiya , kaha hum se Yazid bin Ibrahim ne , unhon ne kaha ke hum se Qatada ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se bayan kiya , aap Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se riwayat karte thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke sajda karne mein itidal rakho sidhi tarah par karo aur koi shakhs tum mein se apne bazuon ko kutte ki tarah na phelaaye . Jab kisi ko thookna hi ho to samne ya dahni taraf na thooke , kyunke woh namaz mein apne Rab se posheeda batein karta rehta hai aur Saeed ne Qatada raziyallahu anhu se riwayat kar ke bayan kiya hai ke aage ya samne na thooke albatta bayen taraf paon ke neechay thook sakta hai aur Shoba ne kaha ke apne samne aur dayen janib na thooke , balkay bayen taraf ya paon ke neechay thook sakta hai . Aur Humaid ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se riwayat karte hain ke qibla ki taraf na thooke aur na dayen taraf albatta bayen taraf ya paon ke neechay thook sakta hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 241
حدثنا محمد بن يوسف، قال: حدثنا سفيان، عن حميد، عن انس، قال:" بزق النبي صلى الله عليه وسلم في ثوبه"، طوله ابن ابي مريم، قال: اخبرنا يحيى بن ايوب، حدثني حميد، قال: سمعت انسا، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Muhammed bin Yousuf ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne Humaid ke waaste se bayan kiya, woh Anas Radhiallahu Anhu se riwayat karte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne (ek martaba) apne kapde mein thooka. Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) ne farmaaya ke Sa’eed bin Abi Maryam ne is Hadees ko tiwalat ke saath bayan kiya unhon ne kaha hum ko khabar di Yahya bin Ayyub ne, kaha mujh se Humaid ne bayan kiya, kaha main ne Anas se suna, woh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat karte hain.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 822
حدثنا محمد بن بشار، قال: حدثنا محمد بن جعفر، قال: حدثنا شعبة، قال: سمعت قتادة، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اعتدلوا في السجود، ولا يبسط احدكم ذراعيه انبساط الكلب".
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Muhammad bin Jafar ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke main ne Qatadah se suna , unhon ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se unhon ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke sajde mein itidaal ko malhooz rakho aur apne baazu kuton ki tarah na phelaaya karo .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة