الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الطلاق
Kitab: Talaq ke masail ka bayan
باب: {وأولات الأحمال أجلهن أن يضعن حملهن} :
Bab: Haamilah auraton ki iddat ye hai ke bacha jenen.
Show diacritics
Hadith Number: 5319
حدثنا يحيى بن بكير، عن الليث، عن يزيد، ان ابن شهاب كتب إليه، ان عبيد الله بن عبد الله اخبره، عن ابيه، انه كتب إلى ابن الارقم ان يسال سبيعة الاسلمية،" كيف افتاها النبي صلى الله عليه وسلم؟ فقالت: افتاني إذا وضعت ان انكح".
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya , in se Layth ne , in se Yazid ne ke Ibn Shihab ne unhein likha ke Ubaidullah bin Abdullah ne apne walid (Abdullah bin Utbah bin Masood) se unhein khabar di ke unhon ne Ibn al-Arqam ko likha ke Subay-ah Aslamiyyah se poochein ke Nabi Karim ne in ke mutalliq kiya fatwa diya tha to unhon ne farmaya ke jab meere yahan bacha paida ho gaya to Nabi Karim ne mujhe fatwa diya ke ab main nikah kar loon .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3991
وقال الليث: حدثني يونس، عن ابن شهاب، قال:حدثني عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، ان اباه كتب إلى عمر بن عبد الله بن الارقم الزهري، يامره ان يدخل على سبيعة بنت الحارث الاسلمية فيسالها عن حديثها وعن ما قال لها رسول الله صلى الله عليه وسلم حين استفتته , فكتب عمر بن عبد الله بن الارقم إلى عبد الله بن عتبة يخبره ان سبيعة بنت الحارث اخبرته انها كانت تحت سعد بن خولة وهو من بني عامر بن لؤي وكان ممن شهد بدرا , فتوفي عنها في حجة الوداع وهي حامل , فلم تنشب ان وضعت حملها بعد وفاته , فلما تعلت من نفاسها تجملت للخطاب , فدخل عليها ابو السنابل بن بعكك رجل من بني عبد الدار، فقال لها: ما لي اراك تجملت للخطاب ترجين النكاح , فإنك والله ما انت بناكح حتى تمر عليك اربعة اشهر وعشر، قالت سبيعة: فلما، قال لي: ذلك جمعت علي ثيابي حين امسيت , واتيت رسول الله صلى الله عليه وسلم , فسالته عن ذلك" فافتاني باني قد حللت حين وضعت حملي وامرني بالتزوج إن بدا لي". تابعه اصبغ، عن ابن وهب، عن يونس، وقال الليث: حدثني يونس، عن ابن شهاب وسالناه، فقال: اخبرني محمد بن عبد الرحمن بن ثوبان مولى بني عامر بن لؤي ان محمد بن إياس بن البكير، وكان ابوه شهد بدرا اخبره".
Aur Lais Bin Saad ne bayan kiya ke mujh se Yunus ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, un se Ubaidullah Bin Abdullah Bin Utbah ne bayan kiya ke un ke walid ne Umar Bin Abdullah Bin Arqam Zuhri ko likha ke tum Sabee'ah Bint-ul-Haris Aslamiyah Radi Allahu Anha ke paas jao aur un se un ke waqia ke mutaliq poocho ke unhon ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se masla poocha tha to aap ne un ko kya jawab diya tha? Chunanche unhon ne mere walid ko is ke jawab mein likha ke Sabee'ah Bint-ul-Haris Radi Allahu Anha ne unhein khabar di hai ke wo Saad Bin Khawlah Radi Allahu Anhuma ke nikah mein theen. Un ka talluq Bani Aamir Bin Luayyy se tha aur wo Badr ki jang mein shirkat karne walon mein se thay. Phir Hajjat-ul-Wida ke mauqa par in ki wafat ho gayi thi aur is waqt wo hamal se theen. Saad Bin Khawlah Radi Allahu Anhuma ki wafat ke kuch hi din baad un ke yahan baccha paida hua. Nifas ke din jab wo guzar chukein to nikah ka paigham bhejne walon ke liye unhon ne acche kapre pehne. Is waqt Banu Abd-ul-Dar ke ek Sahabi Abu-ul-Sanabil Bin Ba'kak Radi Allahu Anhu in ke yahan gaye aur un se kaha, mera khayal hai ke tum ne nikah ka paigham bhejne walon ke liye ye zeenat ki hai. Kya nikah karne ka khayal hai? Lekin Allah ki qasam! Jab tak (Saad Radi Allahu Anhu ki wafat par) char mahine aur das din na guzar jayein tum nikah ke qabil nahi ho sakteen. Sabee'ah Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke jab Abu-ul-Sanabil ne mujh se ye baat kahi to mein ne sham hote hi kapre pehne aur Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir ho kar is ke bare mein, mein ne aap se masla maloom kiya. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne mujh se farmaya ke mein baccha paida hone ke baad iddat se nikal chuki hoon aur agar mein chahoon to nikah kar sakti hoon. Is riwayat ki mutabi'at Asbagh ne Ibn Wahab se ki hai, un se Yunus ne bayan kiya aur Lais ne kaha ke mujh se Yunus ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, (unhon ne bayan kiya ke) hum ne un se poocha to unhon ne bayan kiya ke mujhe Banu Aamir Bin Luayyy ke ghulam Muhammad Bin Abdur Rahman Bin Sauban ne khabar di ke Muhammad Bin Iyas Bin Bukair ne unhein khabar di aur un ke walid Iyas Badr ki larai mein shareek thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4910
وقال:سليمان بن حرب، وابو النعمان، حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن محمد، قال: كنت في حلقة فيها عبد الرحمن بن ابي ليلى، وكان اصحابه يعظمونه، فذكروا له، فذكر آخر الاجلين، فحدثت بحديث سبيعة بنت الحارث، عن عبد الله بن عتبة، قال: فضمز لي بعض اصحابه، قال محمد: ففطنت له، فقلت: إني إذا لجريء إن كذبت على عبد الله بن عتبة وهو في ناحية الكوفة فاستحيا، وقال: لكن عمه لم يقل ذاك، فلقيت ابا عطية مالك بن عامر، فسالته، فذهب يحدثني حديث سبيعة، فقلت: هل سمعت عن عبد الله فيها شيئا؟ فقال: كنا عند عبد الله، فقال: اتجعلون عليها التغليظ ولا تجعلون عليها الرخصة لنزلت سورة النساء القصرى بعد الطولى واولات الاحمال اجلهن ان يضعن حملهن سورة الطلاق آية 4.
Aur Sulayman bin Harb aur al-Nu'man ne byaan kiya, ke hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya, un se Ayub ne aur un se Muhammad bin Sireen ne byaan kiya ke main ek majlis mein jis mein Abdur Rahman bin Abi Layla bhi thay maujood tha. Un ke shagird un ki bahut izzat kiya karte thay. Main ne wahan Subay'ah bint al-Harith ka Abdullah bin Utbah bin Masood se byaan kiya ke is par un ke shagird ne zaban aur aankhon ke ishare se hont kaat kar mujhe tanbeeh ki. Muhammad bin Sireen ne byaan kiya ke main samajh gaya aur kaha ke Abdullah bin Utbah Kufa mein abhi zinda maujood hain. Agar main un ki taraf bhi jhoot nisbat karta hoon to bari jurat ki baat ho gi mujhe tanbeeh karne wale sahab is par sharminda ho gaye aur Abdur Rahman bin Abi Layla ne kaha lekin un ke chacha to yeh baat nahi karte thay. (Ibn Sireen ne byaan kiya ke) phir main Abu Atiyyah Malik bin Aamir se mila aur in se yeh masla poocha woh bhi Subay'ah wali hadees byaan karne lage lekin main ne un se kaha Aap ne Abdullah bin Masood razi Allahu anhu se bhi is silsile mein kuch suna hai? Unhon ne byaan kiya ke hum Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ki khidmat mein hazir thay to unhon ne kaha kya tum is par (jis ke shohar ka intiqal ho gaya aur woh hamila ho. Iddat ki muddat ko ttool de kar) sakhti karna chahte ho aur rukhsat o sahoolat dene ke liye tayyar nahi, baat yeh hai ke chhoti Surah Nisa yani (Surah at-Talaq) bari Surah an-Nisa ke baad nazil hui hai aur kaha «wa ulaatul ahmaali ajalu-hunna an yada'na hamla-hunna» al-aayat aur hamal waliyon ki iddat un ke hamal ka paida ho jaana hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5318
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن جعفر بن ربيعة، عن عبد الرحمن بن هرمز الاعرج، قال: اخبرني ابو سلمة بن عبد الرحمن، ان زينب بنت ابي سلمة اخبرته، عن امها ام سلمة زوج النبي صلى الله عليه وسلم، ان امراة من اسلم يقال لها: سبيعة كانت تحت زوجها توفي عنها وهي حبلى، فخطبها ابو السنابل بن بعكك، فابت ان تنكحه، فقال: والله ما يصلح ان تنكحيه حتى تعتدي آخر الاجلين، فمكثت قريبا من عشر ليال، ثم جاءت النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: انكحي".
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne byaan kiya , in se Jafar bin Rabee ne , in se Abdur Rahman bin Hurmuz ne , kaha ke mujhe khabar di Abu Salamah bin Abdur Rahman ne ke Zaynub Umm Salamah razi Allahu anha ne apni walda Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Umm Salamah razi Allahu anha se khabar di ke ek khatoon jo Islam layi thien aur jin ka naam Subay-ah tha , apne shohar ke saath rehti thien , shohar ka jab intiqal hua to woh hamila thien . Abu Sanabil bin Ba'kak razi Allahu anhu ne in ke paas nikah ka paigham bheja lekin unhon ne nikah karne se inkar kiya . Abu al-Sanabil ne kaha ke Allah ki qasam! Jab tak iddat ki do muddaton mein se lambi na guzar loon gi , tumhare liye is se (jis se nikah woh karna chahti thien) nikah karna sahih nahi ho ga . Phir woh (waza hamal ke baad) taqreeban das din tak ruki rahein . Is ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huien to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ab nikah kar lo .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5320
حدثنا يحيى بن قزعة، حدثنا مالك، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن المسور بن مخرمة،" ان سبيعة الاسلمية نفست بعد وفاة زوجها بليال، فجاءت النبي صلى الله عليه وسلم، فاستاذنته ان تنكح، فاذن لها، فنكحت".
Hum se Yahya bin Qazah ne byaan kiya , kaha hum se Imam Malik ne byaan kiya , in se Hisham bin Urwah ne , in se un ke walid ne , in se Miswar bin Makhramah ne ke Subay-ah Aslamiyyah apne shohar ki wafat ke baad chand dinon tak halat e nifaas mein rahein . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas aa kar unhon ne nikah ki ijazat maangi to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne unhein ijazat di aur unhon ne nikah kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة