الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الطلاق
Kitab: Talaq ke masail ka bayan
باب خيار الأمة تحت العبد:
Bab: Agar laundi ghulam ke nikah mein ho phir woh laundi azad ho jaye to use ikhtiyar ho ga khwah woh nikah baqi rakhe ya faskh kar dale.
Show diacritics
Hadith Number: 5282
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا عبد الوهاب، عن ايوب، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" كان زوج بريرة عبدا اسود يقال له: مغيث عبدا لبني فلان كاني انظر إليه يطوف وراءها في سكك المدينة".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya , in se Abdul Wahhab ne byaan kiya , in se Ayub ne , in se Ikrimah ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Barira razi Allahu anha ke shohar ek Habshi ghulam thay . In ka Mugheeth naam tha , woh Bani falan ke ghulam thay . Jaise woh manzar ab bhi meri aankhon mein hai ke woh Madinah ki galiyon mein Barira razi Allahu anha ke peeche peeche phir rahe hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5280
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، وهمام، عن قتادة، عن عكرمة، عن ابن عباس، قال:" رايته عبدا يعني زوج بريرة".
Hum se Abu al-Waleed ne byaan kiya , kaha hum se Shubah aur Hammam ne byaan kiya , in se Qatadah ne , in se Ikrimah ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke main ne unhein ghalam dekha tha . Aap ki murad Barira razi Allahu anha ke shohar (Mugheeth) se thi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة