الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الطلاق
Kitab: Talaq ke masail ka bayan
باب: {لم تحرم ما أحل الله لك} :
Bab: Allah Taala ka ye farmana“Ay Paighambar! jo cheez Allah ne tere liye halal ki hai use tu apne oopar kyun haram karta hai”.
Hadith Number: 5266
حدثني الحسن بن صباح، سمع الربيع بن نافع، حدثنا معاوية، عن يحيى بن ابي كثير، عن يعلى بن حكيم، عن سعيد بن جبير، انه اخبره، انه سمع ابن عباس، يقول:" إذا حرم امراته ليس بشيء، وقال: لقد كان لكم في رسول الله اسوة حسنة سورة الاحزاب آية 21".
Mujh se Hasan bin al-Sabbah ne byaan kiya , unhon ne Rabee bin Nafi se suna ke hum se Muawiyah bin Salam ne byaan kiya , in se Yahya bin Abi Kaseer ne , in se Yala bin Hakeem ne , in se Saeed bin Jubayr ne , unhon ne unhein khabar di ke unhon ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna , unhon ne byaan kiya ke agar kisi ne apni biwi ko apne oopar haram kaha to yeh koi cheez nahi aur farmaya ke tumhare liye Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki pairwi umdah pairwi hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4911
حدثنا معاذ بن فضالة، حدثنا هشام، عن يحيى، عن ابن حكيم هو يعلى بن حكيم الثقفي، عن سعيد بن جبير، ان ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" في الحرام يكفر، وقال ابن عباس: 0 لقد كان لكم في رسول الله إسوة حسنة 0".
Hum se Maaz bin Fadala ne byaan kiya, kaha hum se Hisham bin Urwah ne byaan kiya, un se Yahya bin Saeed Qattan ne, un se Ibn Hakeem ne, un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas ne kaha ke agar kisi ne apne oopar koi halal cheez haram kar li to is ka kaffara dena ho ga. Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «laqad kaana lakum fee rasoolillahi uswatun hasanatun» yani ”beshak tumhare liye tumhare Rasool Allah ki zindagi mein behtareen namuna hai.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة