الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مواقيت الصلاة
Kitab: Auqat-e-namaz ke bayan mein
باب الصلاة كفارة:
Bab: Is bayan mein ke gunahon ke liye namaz kaffarah hai (yani is se sagheera gunah maaf ho jate hain).
Hadith Number: 526
حدثنا قتيبة، قال: حدثنا يزيد بن زريع، عن سليمان التيمي، عن ابي عثمان النهدي، عن ابن مسعود،" ان رجلا اصاب من امراة قبلة، فاتى النبي صلى الله عليه وسلم فاخبره، فانزل الله عز وجل واقم الصلاة طرفي النهار وزلفا من الليل إن الحسنات يذهبن السيئات سورة هود آية 114، فقال الرجل: يا رسول الله، الي هذا؟ قال: لجميع امتي كلهم".
Hum se Qutaiba ne bayan kiya , kaha ke hum se Yazid bin Zurai ne bayan kiya , Sulaiman Taimi ke wastay se , unhon ne Abu Usman Nahdi se , unhon ne Ibn Masood raziyallahu anhu se ke ek shakhs ne kisi ghair aurat ka bosa le liya . Aur phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ki khidmat mein aaya aur aap ko is harkat ki khabar de di . Is par Allah Taala ne yeh ayat nazil farmayi , ke namaz din ke dono hisson mein qaim karo aur kuch raat gaye bhi , aur bilashubha nekiyan buraiyon ko mita deti hain . Is shakhs ne kaha ke ya Rasool Allah! kya yeh sirf mere liye hai . To aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke nahi balkay meri tamam ummat ke liye yahi hukm hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4687
حدثنا مسدد، حدثنا يزيد هو ابن زريع، حدثنا سليمان التيمي، عن ابي عثمان، عن ابن مسعود رضي الله عنه: ان رجلا اصاب من امراة قبلة، فاتى رسول الله صلى الله عليه وسلم فذكر ذلك له، فانزلت عليه: واقم الصلاة طرفي النهار وزلفا من الليل إن الحسنات يذهبن السيئات ذلك ذكرى للذاكرين سورة هود آية 114 قال الرجل: الي هذه؟ قال:" لمن عمل بها من امتي".
Hum se Musaddad ne byaan kiya , kaha hum se Yazid bin Zuray ne byaan kiya , kaha hum se Sulayman Taymi ne byaan kiya , un se Abu Usman ne aur un se Ibn Masood razi Allahu anhu ne ke ek shakhs ne kisi ghair aurat ko bosa de diya aur phir woh Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua aur Aap se apna gunah byaan kiya . Is par yeh aayat nazil hui «wa aqimissalata tarafa-innahaari wa zulafan minal layli innal hasanaati yuzh-hibnas-sayyiaati zhalika zhikra lizhzhaakireena» ”aur tum namaz ki pabindi karo din ke donon siron par aur raat ke kuch hisson mein beshak naikiyaan mita deti hain badiyon ko , yeh ek nasihat hai nasihat maanne walon ke liye .“ In sahab ne arz kiya yeh aayat sirf mere hi liye hai (ke naikiyaan badiyon ko mita deti hain) ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke meri ummat ke har insan ke liye hai jo is par amal kare .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة