الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب مَوَاقِيتِ الصَّلَاةِ
The Book of The Times of As-Salat (The Prayers) and Its Superiority
بَابُ الصَّلاَةُ كَفَّارَةٌ:
Chapter. As-Salat (the prayer) is expiation (of sins).
Hadith Number: 525
حدثنا مسدد، قال: حدثنا يحيى، عن الاعمش، قال: حدثني شقيق، قال: سمعت حذيفة، قال:" كنا جلوسا عند عمر رضي الله عنه، فقال: ايكم يحفظ قول رسول الله صلى الله عليه وسلم في الفتنة؟ قلت: انا كما قاله، قال: إنك عليه او عليها لجريء، قلت: فتنة الرجل في اهله وماله وولده وجاره، تكفرها الصلاة والصوم والصدقة والامر والنهي، قال: ليس هذا اريد، ولكن الفتنة التي تموج كما يموج البحر، قال: ليس عليك منها باس يا امير المؤمنين، إن بينك وبينها بابا مغلقا، قال: ايكسر ام يفتح؟ قال: يكسر، قال: إذا لا يغلق ابدا، قلنا: اكان عمر يعلم الباب؟ قال: نعم، كما ان دون الغد الليلة"، إني حدثته بحديث ليس بالاغاليط، فهبنا ان نسال حذيفة، فامرنا مسروقا فساله، فقال: الباب عمر.
Hum se Musaddad bin Musarhad ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne Amash ki riwayat se bayan kiya , Amash Sulaiman bin Mihran ne kaha ke mujh se Shaqiq bin Muslima ne bayan kiya , Shaqiq ne kaha ke mein ne Hudhaifa bin Yaman raziyallahu anhu se suna . Hudhaifa raziyallahu anhu ne farmaya ke hum Umar raziyallahu anhu ki khidmat mein baithe hue thay ke aap ne poocha ke fitna se mutalliq Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ki koi hadees tum mein se kisi ko yaad hai ? mein bola , mein ne isay isi tarah yaad rakha hai jaisay Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne is hadees ko bayan farmaya tha . Umar raziyallahu anhu bole , ke tum Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam se fitna ko maloom karne mein bohot bebak thay . Mein ne kaha ke insaan ke ghar wale , maal aulad aur parosi sab fitna ki cheez hain . Aur namaz , roza , sadaqa , achhi baat ke liye logon ko hukm karna aur buri baton se rokna un fitnon ka kaffara hain . Umar raziyallahu anhu ne farmaya ke mein tum se is ke mutalliq nahi poochta , mujhe tum is fitna ke baray mein batlao jo samandar ki mauj ki tarah thathen marta hua barhe ga . Is par mein ne kaha ke ya Amir al-Momineen! aap is se khauf na khayen . Aap ke aur fitna ke darmiyan ek band darwaza hai . Poocha kya woh darwaza tor diya jaye ga ya sirf khola jaye ga . Mein ne kaha ke tor diya jaye ga . Umar raziyallahu anhu bol uthe , ke phir to woh kabhi band nahi ho sake ga . Shaqiq ne kaha ke hum ne Hudhaifa raziyallahu anhu se poocha , kya Umar raziyallahu anhu is darwaze ke mutalliq kuch ilm rakhte thay to unhon ne kaha ke haan! bilkul isi tarah jaisay din ke baad raat ke aane ka . Mein ne tum se ek aisi hadees bayan ki hai jo qatan ghalat nahi hai . Humein is ke mutalliq Hudhaifa raziyallahu anhu se poochne mein dar hota tha ke darwaza se kya murad hai is liye hum ne Masrooq se kaha ke woh poochhen unhon ne darayaf kiya to aap ne bataya ke woh darwaza khud Umar raziyallahu anhu hi thay .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 526
حدثنا قتيبة، قال: حدثنا يزيد بن زريع، عن سليمان التيمي، عن ابي عثمان النهدي، عن ابن مسعود،" ان رجلا اصاب من امراة قبلة، فاتى النبي صلى الله عليه وسلم فاخبره، فانزل الله عز وجل واقم الصلاة طرفي النهار وزلفا من الليل إن الحسنات يذهبن السيئات سورة هود آية 114، فقال الرجل: يا رسول الله، الي هذا؟ قال: لجميع امتي كلهم".
Hum se Qutaiba ne bayan kiya , kaha ke hum se Yazid bin Zurai ne bayan kiya , Sulaiman Taimi ke wastay se , unhon ne Abu Usman Nahdi se , unhon ne Ibn Masood raziyallahu anhu se ke ek shakhs ne kisi ghair aurat ka bosa le liya . Aur phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ki khidmat mein aaya aur aap ko is harkat ki khabar de di . Is par Allah Taala ne yeh ayat nazil farmayi , ke namaz din ke dono hisson mein qaim karo aur kuch raat gaye bhi , aur bilashubha nekiyan buraiyon ko mita deti hain . Is shakhs ne kaha ke ya Rasool Allah! kya yeh sirf mere liye hai . To aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke nahi balkay meri tamam ummat ke liye yahi hukm hai .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة