الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النكاح
Kitab: Nikah ke masail ka bayan
باب الغيرة:
Bab: Ghayrat ka bayan.
Hadith Number: 5221
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" يا امة محمد، ما احد اغير من الله ان يرى عبده او امته تزني، يا امة محمد، لو تعلمون ما اعلم لضحكتم قليلا ولبكيتم كثيرا".
Hum se Abdullah bin Maslamah Qanabi ne byaan kiya , in se Imam Malik ne byaan kiya , in se Hisham bin Urwah ne , un se un ke walid Urwah bin Zubayr ne byaan kiya aur un se Aisha razi Allahu anha ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Ae Ummat e Muhammad! Allah se barh kar ghairat-mand aur koi nahi ke woh apne bande ya bandi ko zina karte huay dekhe . Ae Ummat e Muhammad! Agar tumhein woh maloom hota jo mujhe maloom hai to tum hanste kam aur rote zyada .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1044
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة، انها قالت:" خسفت الشمس في عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم فصلى رسول الله صلى الله عليه وسلم بالناس، فقام فاطال القيام، ثم ركع فاطال الركوع، ثم قام فاطال القيام وهو دون القيام الاول، ثم ركع فاطال الركوع وهو دون الركوع الاول، ثم سجد فاطال السجود، ثم فعل في الركعة الثانية مثل ما فعل في الاولى، ثم انصرف وقد انجلت الشمس، فخطب الناس فحمد الله واثنى عليه، ثم قال: إن الشمس والقمر آيتان من آيات الله لا يخسفان لموت احد ولا لحياته، فإذا رايتم ذلك فادعوا الله وكبروا وصلوا وتصدقوا، ثم قال: يا امة محمد والله ما من احد اغير من الله ان يزني عبده او تزني امته، يا امة محمد والله لو تعلمون ما اعلم لضحكتم قليلا ولبكيتم كثيرا".
Hum se Abdullah bin Muslimah Qanabi ne byaan kiya , in se Imam Malik ne byaan kiya , in se Hisham bin Urwah ne byaan kiya , in se in ke baap Urwah bin Zubayr razi Allahu anhu ne byaan kiya , in se Umm ul-Momineen Aisha Siddiqa razi Allahu anha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke zamana mein sooraj gahan hua to Aap ne logun ko namaaz parhayi . Pehle Aap salla Allahu alaihi wasallam kharay hue to bari der tak kharay rahe , qiyam ke baad ruku kiya aur ruku mein bahut der tak rahe . Phir ruku se uthne ke baad der tak dobara kharay rahe lekin Aap salla Allahu alaihi wasallam ke pehle qiyam se kuch kam , phir ruku kiya to bari der tak ruku mein rahe lekin pehle se mukhtasar , phir sajda mein gaye aur der tak sajda ki haalat mein rahe . Doosri rakat mein bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam ne isi tarah kiya , jab Aap salla Allahu alaihi wasallam farigh hue to gahan khul chuka tha . Is ke baad Aap salla Allahu alaihi wasallam ne khutbah diya Allah Ta'ala ki hamd o sana ke baad farmaya ke sooraj aur chand dono Allah ki nishaniyan hain aur kisi ki maut o hayat se in mein gahan nahi lagta . Jab tum gahan laga hua dekho to Allah se dua karo takbeer kaho aur namaaz parho aur sadqa karo . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ay Muhammad ki ummat ke logun! dekho is baat par Allah Ta'ala se zyada ghairat aur kisi ko nahi aati ke is ka koi banda ya bandi zina kare , ay ummat-e-Muhammad! wallah jo kuch main jaanta hoon agar tumhein bhi maloom ho jaye to tum hanste kam aur rote zyada .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة