الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النكاح
Kitab: Nikah ke masail ka bayan
باب المرأة تهب يومها من زوجها لضرتها وكيف يقسم ذلك:
Bab: Aurat apne shauhar ki baari apni saukan ko de sakti hai aur us ki taqseem kis tarah ki jaye?
Hadith Number: 5212
حدثنا مالك بن إسماعيل، حدثنا زهير، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة،" ان سودة بنت زمعة وهبت يومها لعائشة، وكان النبي صلى الله عليه وسلم يقسم لعائشة بيومها ويوم سودة".
Hum se Malik bin Ismail ne byaan kiya , kaha hum se Zuhayr ne byaan kiya , us se Hisham bin Urwah ne , un se un ke walid ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne ke Sauda bint Zama'h ne apni baari Aisha razi Allahu anha ko de di thi aur Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Aisha razi Allahu anha ke yahan khud in ki baari ke din aur Sauda razi Allahu anha ki baari ke din rehte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2593
حدثنا حبان بن موسى، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس، عن الزهري، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا اراد سفرا اقرع بين نسائه، فايتهن خرج سهمها خرج بها معه، وكان يقسم لكل امراة منهن يومها وليلتها، غير ان سودة بنت زمعة وهبت يومها وليلتها لعائشة زوج النبي صلى الله عليه وسلم، تبتغي بذلك رضا رسول الله صلى الله عليه وسلم".
Hum se Habban Bin Musa ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Abdullah Bin Mubarak ne khabar di, unhein Yunus ne khabar di Zuhri se, wo Urwah se aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) jab safar ka irada karte to apni azwaj ke liye qura andazi karte aur jin ka qura nikal aata unhein ko apne sath le jate. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka ye bhi tareeqa tha ke apni tamam azwaj ke liye ek ek din aur raat ki bari muqarrar kar di thi, albatta (aakhir mein) Sauda Bint Zama (Radi Allahu Anha) ne apni bari Aisha (Radi Allahu Anha) ko de di thi, is se un ka maqsad Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki raza hasil karni thi
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة