الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النكاح
Kitab: Nikah ke masail ka bayan
باب المداراة مع النساء:
Bab: Auraton ke sath khush-khulqi se pesh aana.
Hadith Number: 5184
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثني مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" المراة كالضلع، إن اقمتها كسرتها وإن استمتعت بها استمتعت بها وفيها عوج".
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne byaan kiya, ke hum se Imam Malik ne byaan kiya, un se Abu al-Zinad ne, un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke aurat misl pasli ke hai, agar tum usay seedha karna chaho ge to torr do ge aur agar is se faida haasil karna chaho ge to is ki teerh ke saath hi faida haasil karo ge.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3331
حدثنا ابو كريب وموسى بن حزام، قالا: حدثنا حسين بن علي، عن زائدة، عن ميسرة الاشجعي، عن ابي حازم، عن ابي هريرةرضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" استوصوا بالنساء فإن المراة خلقت من ضلع وإن اعوج شيء في الضلع اعلاه، فإن ذهبت تقيمه كسرته، وإن تركته لم يزل اعوج فاستوصوا بالنساء".
Hum se Abu Kuraib aur Musa Bin Huzam ne bayan kiya, kaha ke hum se Husain Bin Ali ne bayan kiya, un se Za'ida ne, un se Maisara Ashja'i ne, un se Abu Hazim ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Auraton ke bare mein meri wasiyat ka hamesha khayal rakhna, kyunke aurat pasli se paida ki gayi hai. Pasli mein bhi sab se zyada tedha upar ka hissa hota hai. Agar koi shakhs ise bilkul seedhi karne ki koshish kare to anjam-e-kar tod ke rahega aur agar ise wo yunhi chhod dega to phir hamesha tedhi hi reh jaye gi. Pas auraton ke bare mein meri nasihat mano, auraton se accha sulook karo."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة