الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النكاح
Kitab: Nikah ke masail ka bayan
باب ذهاب النساء والصبيان إلى العرس:
Bab: Da’wat-e-shadi mein auraton aur bachchon ka bhi jana ja’iz hai.
Show diacritics
Hadith Number: 5180
حدثنا عبد الرحمن بن المبارك، حدثنا عبد الوارث، حدثنا عبد العزيز بن صهيب، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال:" ابصر النبي صلى الله عليه وسلم نساء وصبيانا مقبلين من عرس، فقام ممتنا، فقال: اللهم انتم من احب الناس إلي".
Hum se Abdur Rahman bin al-Mubarak ne byaan kiya, kaha hum se Abdul Waris ne byaan kiya, kaha hum se Abdul Aziz bin Suhayb ne byaan kiya, un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne auraton aur bachon ko kisi shadi se aate huay dekha to Aap salla Allahu alaihi wasallam khushi ke maarey jaldi se kharay ho gaye aur farmaya: ya Allah! (tu gawah reh) tum log sab logon se zyada mujhko mahboob ho.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3785
حدثنا ابو معمر، حدثنا عبد الوارث، حدثنا عبد العزيز، عن انس رضي الله عنه، قال:" راى النبي صلى الله عليه وسلم النساء والصبيان مقبلين، قال: حسبت انه قال:" من عرس" , فقام النبي صلى الله عليه وسلم ممثلا، فقال:" اللهم انتم من احب الناس إلي" , قالها ثلاث مرار.
Hum se Abu Ma'mar ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdul Waris ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Aziz ne bayan kiya aur un se Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke ek martaba Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne (Ansar ki) aurton aur bacchon ko mere guman ke mutabiq kisi shadi se wapas aate hue dekha to aap Sallallahu Alaihi Wasallam kharay ho gaye aur farmaya Allah (gawah hai) tum log mujhe sab se zyada azeez ho, teen baar aap ne aisa hi farmaya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3786
حدثنا يعقوب بن إبراهيم بن كثير، حدثنا بهز بن اسد، حدثنا شعبة، قال: اخبرني هشام بن زيد، قال: سمعت انس بن مالك رضي الله عنه، قال: جاءت امراة من الانصار إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم ومعها صبي لها فكلمها رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال:" والذي نفسي بيده إنكم احب الناس" , إلي مرتين".
Hum se Yaqub Bin Ibrahim Bin Kaseer ne bayan kiya, kaha hum se Bahz Bin Asad ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, kaha ke mujhe Hisham Bin Zaid ne khabar di, kaha ke mein ne Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu se suna unhon ne kaha ke Ansar ki ek aurat Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir huin. Un ke sath ek un ka bacha bhi tha. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne un se kalam kiya phir farmaya: Is zaat ki qasam! Jis ke hath mein meri jaan hai. Tum log mujhe sab se zyada mehboob ho do martaba aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye jumla farmaya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5234
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن هشام، قال: سمعت انس بن مالك رضي الله عنه، قال:" جاءت امراة من الانصار إلى النبي صلى الله عليه وسلم فخلا بها، فقال: والله إنكن لاحب الناس إلي".
Hum se Muhammad bin Bashar ne hadees byaan ki, un se Ghundar ne hadees byaan ki, un se Shubah ne hadees byaan ki, un se Hisham ne byaan kiya, unhon ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se suna, unhon ne byaan kiya ke qabila Ansar ki ek khatoon Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas aayin aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is se logon se ek taraf ho kar tanhayi mein guftagu ki is ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum log (yani Ansar) mujhe sab logon se zyada azeez ho.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6645
حدثنا إسحاق، حدثنا وهب بن جرير، اخبرنا شعبة، عن هشام بن زيد، عن انس بن مالك، ان امراة من الانصار، اتت النبي صلى الله عليه وسلم معها اولاد لها، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" والذي نفسي بيده، إنكم لاحب الناس إلي"، قالها ثلاث مرار.
Hum se Ishaq ne bayan kiya, kaha hum se Wahb bin Jareer ne bayan kiya, kaha hamain ko Shubah ne khabar di Hisham bin Zaid se aur unhein Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke Ansari khatoon Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huaien, in ke saath in ke bache bhi thay. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in se farmaya ke is zaat ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai tum log bhi mujhe tamam logon mein sab se zyada azeez ho. Yeh alfaz Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne teen martaba farmaye.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة