الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النكاح
Kitab: Nikah ke masail ka bayan
باب من قال لا نكاح إلا بولي:
Bab: Bighair wali ke nikah sahi nahi hota.
Show diacritics
Hadith Number: 5130
حدثنا احمد ابن ابي عمرو، قال: حدثني ابي، قال: حدثني إبراهيم، عن يونس، عن الحسن، فلا تعضلوهن سورة البقرة آية 232، قال: حدثني معقل بن يسار: انها نزلت فيه، قال:" زوجت اختا لي من رجل، فطلقها حتى إذا انقضت عدتها جاء يخطبها، فقلت له: زوجتك وفرشتك واكرمتك فطلقتها، ثم جئت تخطبها، لا والله لا تعود إليك ابدا، وكان رجلا لا باس به وكانت المراة تريد ان ترجع إليه، فانزل الله هذه الآية: فلا تعضلوهن سورة البقرة آية 232، فقلت: الآن افعل يا رسول الله، قال: فزوجها إياه".
Hum se Ahmad bin Amr ne byaan kiya , kaha ke mujh se mere walid Hafs bin Abdullah ne byaan kiya , kaha ke mujh se Ibrahim bin Tahman ne byaan kiya , in se Yunus ne , un se Hasan Basri ne aayat «fala tazuloohunna» ki tafseer mein byaan kiya ke mujh se Maqal bin Yasar razi Allahu anhu ne byaan kiya ke yeh aayat mere hi baare mein nazil hui ku main ne apni ek behen ka nikah ek shakhs se kar diya thu . Us ne usay talaq de di lekin jab iddat poori hui to woh shakhs (Abu al-Baddah) meri behen se phir nikah ka paigham le kar aaya . Main ne is se kaha ke main ne tum se is ka (apni behen) ka nikah kiya usay tumhari biwi banaya aur tumhein izzat di lekin tum ne usay talaq dedi aur ab phir tum nikah ka paigham le kar aaye ho . Hargiz nahi , Allah ki qasam! Ab main tumhein kabhi usay nahi doon ga . Woh shakhs Abu al-Baddah kuch bura aadmi na thu aur aurat bhi is ke yahan wapas jaana chahti ku is liye Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «fala tazuloohunna» ke ”tum auraton ko mat roko“ main ne arz kiya ke ya Rasool Allah! Ab main kar doon ga . Byaan kiya ke phir unhon ne apni behen ka nikah is shakhs se kar diya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4529
حدثنا عبيد الله بن سعيد , حدثنا ابو عامر العقدي، حدثنا عباد بن راشد , حدثنا الحسن , قال: حدثني معقل بن يسار , قال: كانت لي اخت تخطب إلي , وقال إبراهيم: عن يونس , عن الحسن , حدثني معقل بن يسار. ح حدثنا ابو معمر، حدثنا عبد الوارث , حدثنا يونس , عن الحسن: ان اخت معقل بن يسار , طلقها زوجها، فتركها حتى انقضت عدتها، فخطبها فابى معقل , فنزلت فلا تعضلوهن ان ينكحن ازواجهن سورة البقرة آية 232".
Hum se Ubaydullah bin Saeed ne byaan kiya , kaha hum se Abu Aamir Aqadi ne byaan kiya , kaha hum se Abbad bin Rashid ne byaan kiya , kaha hum se Hasan ne byaan kiya , kaha ke mujh se Maqal bin Yasar razi Allahu anhu ne byaan kiya , unhon ne byaan kiya ke meri ek behen thien . Un ko un ke agle khawand ne nikah ka paigham diya . (doosri sanad) aur Ibrahim bin Tahman ne byaan kiya , un se Yunus ne , un se Imam Hasan Basri ne aur un se Maqal bin Yasar razi Allahu anhu ne byaan kiya . (teesri sanad) aur Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke hum se Abu Mamar ne byaan kiya , kaha hum se Abdul Waris ne byaan kiya , kaha hum se Yunus ne byaan kiya aur un se Imam Hasan Basri ne ke Maqal bin Yasar razi Allahu anhu ki behen ko un ke shohar ne talaq de di thi lekin jab iddat guzar gayi aur talaq e bain ho gayi to unhon ne phir un ke liye paigham e nikah bheja . Maqal razi Allahu anhu ne is par inkar kiya , magar aurat chahti thi to yeh aayat nazil hui «fala tazuloohunna an yankihna azwaajahunna» ke ”tum unhein is se mat roko ke woh apne pehle shohar se dobara nikah karein .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة