الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النكاح
Kitab: Nikah ke masail ka bayan
باب الشغار:
Bab: Nikah-e-shighar ka bayan.
Hadith Number: 5112
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم" نهى عن الشغار"، والشغار: ان يزوج الرجل ابنته على ان يزوجه الآخر ابنته ليس بينهما صداق.
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne byaan kiya , unhon ne kaha hum ko Imam Malik rahmahullah ne khabar di , unhein Nafi ne aur unhein Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne shighar se mana farmaya hai . Shighar yeh hai ke koi shakhs apni larki ya behen ka nikah is shart ke saath kare ke woh doosra shakhs apni (beti ya behen) us ko biyah de aur kuch mahr na thehre .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6960
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى بن سعيد، عن عبيد الله، قال: حدثني نافع، عن عبد الله رضي الله عنه" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم نهى عن الشغار"، قلت لنافع: ما الشغار؟، قال: ينكح ابنة الرجل وينكحه ابنته بغير صداق، وينكح اخت الرجل وينكحه اخته بغير صداق، وقال بعض الناس: إن احتال حتى تزوج على الشغار فهو جائز، والشرط باطل، وقال في المتعة: النكاح فاسد والشرط باطل، وقال بعضهم: المتعة والشغار جائز، والشرط باطل.
`Hum se Musaddad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yahya bin Said Qattan ne bayan kiya, un se Ubaidullah ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Nafi' ne bayan kiya, aur un se Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu ne ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne Shigar se mana farmaya. Mein ne Nafi' se poocha Shigar kya hai? Unhon ne kaha yeh ke koi shakhs bagair mahr kisi ki larki se nikah karta hai ya is se bagair mahr ke apni larki ka nikah karta hai pas is ke siwa koi mahr muqarrar na ho aur baaz logon ne kaha agar kisi ne heela kar ke nikah-e-shigar kar liya to nikah ka aqd durust ho ga aur shart lagv ho gi (aur har ek ko mahr-e-misl aurat ka ada karna ho ga) aur haan baaz logon ne Mut'ah mein kaha hai ke wahan nikah bhi fasid hai aur shart bhi baatil hai aur baaz Hanafiya yeh kehte hain ke Mut'ah aur Shigar donon jaiz hon ge aur shart baatil ho gi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة