الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْحِيَلِ
The Book of Tricks
بَابُ الْحِيلَةِ فِي النِّكَاحِ:
Chapter. Tricks in marriages.
Hadith Number: 6960
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى بن سعيد، عن عبيد الله، قال: حدثني نافع، عن عبد الله رضي الله عنه" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم نهى عن الشغار"، قلت لنافع: ما الشغار؟، قال: ينكح ابنة الرجل وينكحه ابنته بغير صداق، وينكح اخت الرجل وينكحه اخته بغير صداق، وقال بعض الناس: إن احتال حتى تزوج على الشغار فهو جائز، والشرط باطل، وقال في المتعة: النكاح فاسد والشرط باطل، وقال بعضهم: المتعة والشغار جائز، والشرط باطل.
`Hum se Musaddad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yahya bin Said Qattan ne bayan kiya, un se Ubaidullah ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Nafi' ne bayan kiya, aur un se Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu ne ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne Shigar se mana farmaya. Mein ne Nafi' se poocha Shigar kya hai? Unhon ne kaha yeh ke koi shakhs bagair mahr kisi ki larki se nikah karta hai ya is se bagair mahr ke apni larki ka nikah karta hai pas is ke siwa koi mahr muqarrar na ho aur baaz logon ne kaha agar kisi ne heela kar ke nikah-e-shigar kar liya to nikah ka aqd durust ho ga aur shart lagv ho gi (aur har ek ko mahr-e-misl aurat ka ada karna ho ga) aur haan baaz logon ne Mut'ah mein kaha hai ke wahan nikah bhi fasid hai aur shart bhi baatil hai aur baaz Hanafiya yeh kehte hain ke Mut'ah aur Shigar donon jaiz hon ge aur shart baatil ho gi.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6961
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن عبيد الله بن عمر، حدثنا الزهري، عن الحسن، وعبد الله ابني محمد بن علي، عن ابيهما، ان عليا رضي الله عنه، قيل له: إن ابن عباس" لا يرى بمتعة النساء باسا، فقال: إن رسول الله صلى الله عليه وسلم نهى عنها يوم خيبر، وعن لحوم الحمر الإنسية"، وقال بعض الناس: إن احتال حتى تمتع فالنكاح فاسد، وقال بعضهم: النكاح جائز والشرط باطل.
`Hum se Musaddad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yahya Qattan ne bayan kiya, un se Ubaidullah bin Umar ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Zuhri ne bayan kiya, un se Hasan aur Abdullah bin Muhammad bin Ali ne bayan kiya, un se un ke walid ne ke Ali Radi Allahu Anhu se kaha gaya ke Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhuma aurton ke Mut'ah mein koi haraj nahi samajhte unhon ne kaha ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne Khaibar ki ladayi ke mauqe par Mut'ah se aur paltu gadhon ke gosht se mana kar diya tha aur baaz log kehte hain ke agar kisi ne heela se Mut'ah kar liya to nikah fasid hai aur baaz logon ne kaha ke nikah jaiz ho jaye ga aur miyad ki shart baatil ho jaye gi.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة