الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النكاح
Kitab: Nikah ke masail ka bayan
باب الترغيب فى النكاح:
Bab: Nikah ki fazilat ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 5064
حدثنا علي، سمع حسان بن إبراهيم، عن يونس بن يزيد، عن الزهري، قال: اخبرني عروة، انه سال عائشة، عن قوله تعالى:وإن خفتم الا تقسطوا في اليتامى فانكحوا ما طاب لكم من النساء مثنى وثلاث ورباع فإن خفتم الا تعدلوا فواحدة او ما ملكت ايمانكم ذلك ادنى الا تعولوا سورة النساء آية 3، قالت:" يا ابن اختي، اليتيمة تكون في حجر وليها فيرغب في مالها وجمالها، يريد ان يتزوجها بادنى من سنة صداقها، فنهوا ان ينكحوهن إلا ان يقسطوا لهن فيكملوا الصداق، وامروا بنكاح من سواهن من النساء".
Hum se Muhammad bin Musanna ne byaan kiya , kaha hum se Yahya ne byaan kiya , kaha hum se Ismail ne byaan kiya , un se Qays ne byaan kiya aur un se Ibn Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath jihad kiya karte thay aur hamare saath biwiyaan nahi thien . Is liye hum ne kaha ke ya Rasool Allah! Hum apne aap ko khasi kyun na kar lein ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne hamain is se mana farmaya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2494
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله العامري الاويسي، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، اخبرني عروة، انه سال عائشة رضي الله عنها. وقال الليث: حدثني يونس، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير،" انه سال عائشة رضي الله عنها عن قول الله تعالى: وإن خفتم الا تقسطوا إلى ورباع سورة النساء آية 3، فقالت: يا ابن اختي، هي اليتيمة تكون في حجر وليها تشاركه في ماله فيعجبه مالها وجمالها، فيريد وليها ان يتزوجها بغير ان يقسط في صداقها، فيعطيها مثل ما يعطيها غيره، فنهوا ان ينكحوهن إلا ان يقسطوا لهن ويبلغوا بهن اعلى سنتهن من الصداق، وامروا ان ينكحوا ما طاب لهم من النساء سواهن". قال عروة: قالت عائشة: ثم إن الناس استفتوا رسول الله صلى الله عليه وسلم بعد هذه الآية، فانزل الله ويستفتونك في النساء إلى قوله وترغبون ان تنكحوهن سورة النساء آية 127، والذي ذكر الله انه يتلى عليكم في الكتاب الآية الاولى التي قال فيها وإن خفتم الا تقسطوا في اليتامى فانكحوا ما طاب لكم من النساء سورة النساء آية 3، قالت عائشة: وقول الله في الآية الاخرى: وترغبون ان تنكحوهن سورة النساء آية 127 يعني هي رغبة احدكم ليتيمته التي تكون في حجره حين تكون قليلة المال والجمال، فنهوا ان ينكحوا ما رغبوا في مالها وجمالها من يتامى النساء، إلا بالقسط من اجل رغبتهم عنهن.
Hum se Abdul Aziz Bin Abdullah Aamiri Owaisi ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibrahim Bin Saad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Salih ne, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, ke mujhe Urwah Bin Zubair ne khabar di aur unhon ne Sayyida Aisha (Radi Allahu Anha) se poocha tha (doosri sanad) aur Lais ne bayan kiya ke mujh se Yunus ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, unhein Urwah Bin Zubair ne khabar di ke unhon ne Aisha (Radi Allahu Anha) se (Surah Nisa mein) is ayat ke bare mein poocha "Wa in khiftum" se "wa rubaa" "agar tum ko yatimon mein insaf na karne ka darr ho to jo auratein pasand aayein do do teen teen char char nikah mein lao" unhon ne kaha mere bhanje ye ayat is yatim larki ke bare mein hai jo apne wali (muhafiz rishtedar jaise chachera bhai, phuphi zad ya mamoon zad bhai) ki parwarish mein ho aur tarke ke mal mein is ki sajhi ho aur wo is ki maldari aur khubsoorti par farefta ho kar is se nikah kar lena chahe lekin poora mehar insaf se jitna is ko aur jagah milta wo na de, to ise is se mana kar diya gaya ke aisi yatim larkiyon se nikah kare. Albatta agar un ke sath un ke wali insaf kar sakein aur un ki hasb-e-haisiyat behtar se behtar tarz-e-amal mehar ke bare mein ikhtiyar karein (to is soorat mein nikah karne ki ijazat hai) aur un se ye bhi keh diya gaya ke un ke siwa jo bhi aurat unhein pasand ho un se wo nikah kar sakte hain. Urwah Bin Zubair ne kaha ke Aisha (Radi Allahu Anha) ne batlaya, phir logon ne is ayat ke nazil hone ke baad (aisi larkiyon se nikah ki ijazat ke bare mein) masla poocha to Allah Ta'ala ne ye ayat nazil ki "Wa yastaftunaka fin-nisa" "Aur aap se auraton ke bare mein ye log sawal karte hain". Aage farmaya aur tum un se nikah karna chahte ho. Ye jo is ayat mein hai aur jo Quran mein tum par parha jata hai is se murad pehli ayat hai yani "agar tum ko yatimon mein insaf na ho sakne ka darr ho to doosri auratein jo bhali lagein un se nikah kar lo". Sayyida Aisha (Radi Allahu Anha) ne kaha ye jo Allah ne doosri ayat mein farmaya aur tum un se nikah karna chahte ho is se ye gharaz hai ke jo yatim larki tumhari parwarish mein ho aur mal aur jamal kam rakhti ho is se to tum nafrat karte ho, is liye jis yatim larki ke mal aur jamal mein tum ko raghbat ho is se bhi nikah na karo magar is soorat mein jab insaf ke sath un ka poora mehar ada karo
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة