الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضائل القرآن
Kitab: Quran ke fazail ka bayan
باب الترتيل فى القراءة:
Bab: Quran Majeed ki tilawat saaf saaf aur theher theher kar karna.
Hadith Number: 5043
حدثنا ابو النعمان، حدثنا مهدي بن ميمون، حدثنا واصل، عن ابي وائل، عن عبد الله، قال: غدونا على عبد الله، فقال رجل:" قرات المفصل البارحة، فقال: هذا كهذ الشعر، إنا قد سمعنا القراءة، وإني لاحفظ القرناء التي كان يقرا بهن النبي صلى الله عليه وسلم ثماني عشرة سورة من المفصل وسورتين من آل حم".
Hum se Abu al-Nu'man ne byaan kiya , kaha hum se Mahdi bin Maymoon ne , kaha hum se Wasil Ahdab ne , in se Abu Wail ne Abdullah bin Masood razi Allahu anhu se byaan kiya ke hum in ki khidmat mein subah sawayray hazir huay . Hazireen mein se ek sahab ne kaha ke raat main ne (tamam) mufassal surtein parh dalien . Is par Abdullah bin Masood razi Allahu anhu bolay jaise ashaar jaldi jaldi parhte hain tum ne waise hi parh li ho gi . Hum se qirat suni hai aur mujhe woh jorr wali surtein bhi yaad hain jin ko mila kar namazon mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam parha karte thay . Yeh atharah surtein mufassal ki hain aur woh do surtein jin ke shuru mein «ha-meem» hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 775
حدثنا آدم، قال: حدثنا شعبة، عن عمرو بن مرة، قال: سمعت ابا وائل، قال: جاء رجل إلى ابن مسعود، فقال:" قرات المفصل الليلة في ركعة، فقال: هذا كهذ الشعر، لقد عرفت النظائر التي كان النبي صلى الله عليه وسلم يقرن بينهن، فذكر عشرين سورة من المفصل سورتين في كل ركعة".
Hum se Aadam bin Abi Iyaas ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , kaha ke hum se Amr bin Murrah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke main ne Abu Wail Shaqeeq bin Muslim se suna ke ek shakhs Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ki khidmat mein haazir hua aur kaha ke main ne raat ek rakat mein mufassal ki surat parhi . Aap ne farmaya ke kya isi tarah (jaldi jaldi) parhi jaise sher parhe jate hain . Main un hum maani suraton ko jaanta hoon jinhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ek saath mila kar parhte thay . Aap ne mufassal ki bees suraton ka zikr kiya . Har rakat ke liye do do surtain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة