الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضائل القرآن
Kitab: Quran ke fazail ka bayan
باب تعليم الصبيان القرآن:
Bab: Bachchon ko Quran Majeed ki ta’leem dena.
Hadith Number: 5035
حدثني موسى بن إسماعيل، حدثنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن سعيد بن جبير، قال:" إن الذي تدعونه المفصل هو المحكم"، قال: وقال ابن عباس:" توفي رسول الله صلى الله عليه وسلم وانا ابن عشر سنين وقد قرات المحكم".
Mujh se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha hum se Abu Awanah ne byaan kiya , un se Abu Bishr ne , un se Saeed bin Jubayr ne byaan kiya ke jin suraton ko tum mufassal kehte ho woh sab muhkam hain . Unhon ne byaan kiya ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki wafat hui to meri umr das saal ki thi aur main ne muhkam surtein sab parh li thien .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5032
حدثنا محمد بن عرعرة، حدثنا شعبة، عن منصور، عن ابي وائل، عن عبد الله، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" بئس ما لاحدهم ان يقول: نسيت آية كيت وكيت، بل نسي واستذكروا القرآن فإنه اشد تفصيا من صدور الرجال من النعم". حدثنا عثمان، حدثنا جرير، عن منصور، مثله. تابعه بشر، عن ابن المبارك، عن شعبة، وتابعه ابن جريج، عن عبدة، عن شقيق، سمعت عبد الله، سمعت النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Muhammad bin Ar'arah ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Mansoor ne , un se Abu Wail ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke bahut bura hai kisi shakhs ka yeh kehna ke main falan falan aayat bhool gaya balkay yun (kehna chahiye) ke mujhe bhula diya gaya aur Quran Majeed ka parhna jaari rakho kyunke insanon ke dilon se door ho jaane mein woh oont ke bhaagne se bhi barh kar hai . Hum se Usman bin Abi Shaybah ne byaan kiya , kaha hum se Jareer bin Abdul Hameed ne , aur in se Mansoor bin Mutamir ne pichhli hadees ki tarah . Muhammad bin Ar'arah ke saath is ko بشر bin Abdullah ne bhi Abdullah bin Mubarak se , unhon ne Shubah se riwayat kiya hai aur Muhammad bin Ar'arah ke saath is ko Ibn Jurayj ne bhi Abdah se , unhon ne Shaqeeq se , unhon ne Abdullah bin Masood se aisa hi riwayat kiya hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة