الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضائل القرآن
Kitab: Quran ke fazail ka bayan
باب خيركم من تعلم القرآن وعلمه:
Bab: Tum mein sab se behtar woh hai jo Quran Majeed parhe aur doosron ko parhaye.
Show diacritics
Hadith Number: 5027
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا شعبة، قال: اخبرني علقمة بن مرثد، سمعت سعد بن عبيدة، عن ابي عبد الرحمن السلمي، عن عثمان رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" خيركم من تعلم القرآن وعلمه". قال: واقرا ابو عبد الرحمن في إمرة عثمان حتى كان الحجاج، قال: وذاك الذي اقعدني مقعدي هذا.
Hum se Hajjaj bin Minhal ne byaan kiya, kaha hum se Shubah bin Hajjaj ne byaan kiya, kaha ke mujhe Alqamah bin Marsad ne khabar di, unhon ne Saad bin Ubaydah se suna, unhon ne Abu Abdur Rahman Salmi se aur unhon ne Usman bin Affan razi Allahu anhu se, unhon ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum mein sab se behtar woh hai jo Quran Majeed parhe aur parhaye. Saad bin Ubaydah ne byaan kiya ke Abu Abdur Rahman Salmi ne logon ko Usman razi Allahu anhu ke zamana e khilafat se Hajjaj bin Yusuf ke Iraq ke governor hone tak Quran Majeed ki taleem di. Woh kaha karte thay ke yahi hadees hai jis ne mujhe is jagah (Quran Majeed parhane ke liye) bitha rakkha hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5028
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن علقمة بن مرثد، عن ابي عبد الرحمن السلمي، عن عثمان بن عفان، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إن افضلكم من تعلم القرآن وعلمه".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , un se Alqamah bin Marsad ne , un se Abu Abdur Rahman Salmi ne , un se Usman razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum sab mein behtar woh hai jo Quran Majeed parhe aur parhaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة