الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضائل القرآن
Kitab: Quran ke fazail ka bayan
باب فضل فاتحة الكتاب:
Bab: Surah Al-Fatihah ki fazilat ka bayan (fazail-e-Aameen).
Show diacritics
Hadith Number: 5007
حدثني محمد بن المثنى، حدثنا وهب، حدثنا هشام، عن محمد، عن معبد، عن ابي سعيد الخدري، قال:" كنا في مسير لنا، فنزلنا فجاءت جارية، فقالت: إن سيد الحي سليم، وإن نفرنا غيب، فهل منكم راق؟ فقام معها رجل ما كنا نابنه برقية فرقاه، فبرا فامر له بثلاثين شاة وسقانا لبنا، فلما رجع، قلنا له: اكنت تحسن رقية، او كنت ترقي؟ قال: لا ما رقيت إلا بام الكتاب، قلنا: لا تحدثوا شيئا حتى ناتي او نسال النبي صلى الله عليه وسلم، فلما قدمنا المدينة ذكرناه للنبي صلى الله عليه وسلم، فقال: وما كان يدريه انها رقية، اقسموا واضربوا لي بسهم"، وقال ابو معمر: حدثنا عبد الوارث، حدثنا هشام، حدثنا محمد بن سيرين، حدثني معبد بن سيرين، عن ابي سعيد الخدري، بهذا.
Mujh se Muhammad bin Musanna ne byaan kiya, kaha hum se Wahb bin Jareer ne byaan kiya, kaha hum se Hisham bin Hassan ne byaan kiya, un se Muhammad bin Sireen ne, un se Mabad bin Sireen ne aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hum ek fauji safar mein thay (raat mein) hum ne ek qabila ke nazdeek parao kiya. Phir ek laundi aayi aur kaha ke qabila ke sardar ko bichhoo ne kaat liya hai aur hamare qabile ke mard maujood nahi hain, kya tum mein koi bichhoo ka jhaar phoonk karne wala hai? Ek sahabi (khud Abu Saeed) is ke saath kharay ho gaye, hamain ko maloom tha ke woh jhaar phoonk nahi jaante lekin unhon ne qabila ke sardar ko jhara to usay sehat ho gayi. Us ne is ke shukrane mein tees bakriyaan dene ka hukm diya aur hamain doodh pilaya. Jab woh jhaar phoonk kar ke wapas aaye to hum ne in se poocha kya tum waqayi koi mantar jaante ho? Unhon ne kaha ke nahi main ne to sirf Surah Fatiha parh kar is par dam kar diya tha. Hum ne kaha ke achha jab tak hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se is ke mutalliq na pooch lein in bakriyon ke baare mein apni taraf se kuch na kaho. Chunanche hum ne Madinah pahunch kar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se zikr kiya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke unhon ne kaise jaana ke Surah Fatiha mantar bhi hai. (jao yeh maal halal hai) usay taqseem kar lo aur is mein mera bhi hissa lagana. Aur Mamar ne byaan kiya hum se Abdul Waris bin Saeed ne byaan kiya, kaha hum se Hisham bin Hassan ne byaan kiya, kaha hum se Muhammad bin Sireen ne byaan kiya, kaha hum se Mabad bin Sireen ne byaan kiya aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne yahi waqia byaan kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2276
حدثنا ابو النعمان، حدثنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن ابي المتوكل، عن ابي سعيد رضي الله عنه، قال:" انطلق نفر من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم في سفرة سافروها حتى نزلوا على حي من احياء العرب، فاستضافوهم، فابوا ان يضيفوهم، فلدغ سيد ذلك الحي، فسعوا له بكل شيء، لا ينفعه شيء، فقال بعضهم: لو اتيتم هؤلاء الرهط الذين نزلوا لعله ان يكون عند بعضهم شيء فاتوهم، فقالوا: يا ايها الرهط، إن سيدنا لدغ وسعينا له بكل شيء لا ينفعه، فهل عند احد منكم من شيء؟ فقال بعضهم: نعم، والله إني لارقي، ولكن والله لقد استضفناكم فلم تضيفونا، فما انا براق لكم حتى تجعلوا لنا جعلا فصالحوهم على قطيع من الغنم، فانطلق يتفل عليه، ويقرا: الحمد لله رب العالمين سورة الفاتحة آية 2، فكانما نشط من عقال فانطلق يمشي وما به قلبة، قال: فاوفوهم جعلهم الذي صالحوهم عليه، فقال بعضهم: اقسموا، فقال: الذي رقى، لا تفعلوا حتى ناتي النبي صلى الله عليه وسلم، فنذكر له الذي كان فننظر ما يامرنا، فقدموا على رسول الله صلى الله عليه وسلم فذكروا له، فقال: وما يدريك انها رقية، ثم قال: قد اصبتم اقسموا واضربوا لي معكم سهما، فضحك رسول الله صلى الله عليه وسلم"، قال ابو عبد الله: وقال شعبة: حدثنا ابو بشر، سمعت ابا المتوكل بهذا.
Hum se Abul Numan ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abu Awanah ne bayan kiya, un se Abu Bishr ne bayan kiya, un se Abul Mutawakkil ne bayan kiya, aur un se Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke kuch Sahaba (Radi Allahu Anhum) safar mein thay. Duran-e-safar mein wo Arab ke ek qabeela par utre. Sahaba ne chaha ke qabeela wale unhein apna mehman bana lein, lekin unhon ne mehmani nahi ki, balkay saaf inkar kar diya. Ittifaq se isi qabeela ke sardar ko saanp ne das liya, qabeela walon ne har tarah ki koshish kar dali, lekin un ka sardar accha na hua. Un ke kisi aadmi ne kaha ke chalo in logon se bhi poochein jo yahan aa kar utre hain. Mumkin hai koi dam jhaarne ki cheez un ke paas ho. Chunanche qabeela wale un ke paas aaye aur kaha ke bhaiyo! humare sardar ko saanp ne das liya hai. Is ke liye hum ne har qism ki koshish kar dali lekin kuch faida na hua. Kya tumhare paas koi cheez dam karne ki hai ? Ek Sahabi ne kaha ke qasam Allah ki mein ise jhaar donga lekin hum ne tum se mezbani ke liye kaha tha aur tum ne is se inkar kar diya. Is liye ab mein bhi ujrat ke baghair nahi jhaar sakta, aakhir bakriyon ke ek galle par un ka muamla taye hua. Wo Sahabi wahan gaye aur «الحمد لله رب العالمين» parh parh kar dam kiya. Aisa maloom hua jaise kisi ki rassi khol di gayi ho. Wo sardar uth kar chalne laga, takleef-o-dard ka naam-o-nishan bhi baqi nahi tha. Bayan kiya ke phir unhon ne taye-shuda ujrat Sahaba ko ada kar di. Kisi ne kaha ke ise taqseem kar lo, lekin jinhon ne jhaara tha, wo bole ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir ho kar pehle hum Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se is ka zikar kar lein. Is ke baad dekhenge ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) kya hukum dete hain. Chunanche sab hazrat Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) khidmat mein hazir hue aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se is ka zikar kiya. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ye tum ko kaise maloom hua ke Surah Fatihah bhi ek ruqyah hai ? Is ke baad Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke tum ne theek kiya. Ise taqseem kar lo aur ek mera hissa bhi lagao. Ye farma kar Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) hans pare. Shuba ne kaha ke Abul Bishr ne hum se bayan kiya, unhon ne Abul Mutawakkil se aisa hi suna
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة