الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضائل القرآن
Kitab: Quran ke fazail ka bayan
باب تأليف القرآن:
Bab: Quran Majeed ya ayaton ki tartib ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 4996
حدثنا عبدان، عن ابي حمزة، عن الاعمش، عن شقيق، قال: قال عبد الله:" تعلمت النظائر التي كان النبي صلى الله عليه وسلم يقرؤهن، اثنين اثنين في كل ركعة، فقام عبد الله ودخل معه علقمة وخرج علقمة فسالناه، فقال: عشرون سورة من اول المفصل على تاليف ابن مسعود، آخرهن الحواميم: حم سورة الدخان آية 1 الدخان، وعم يتساءلون".
Hum se Abdan ne byaan kiya , un se Abu Hamzah (Muhammad bin Maymoon) ne un se Aamash ne , un se Shaqeeq ne byaan kiya ke Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne kaha main in jurwan suraton ko jaanta hoon jinhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam har rakat mein do do parhte thay phir Abdullah bin Masood razi Allahu anhu majlis se kharay ho gaye (aur apne ghar) chale gaye . Alqamah bhi Aap ke saath andar gaye . Jab Alqamah razi Allahu anhu bahar niklay to hum ne in se unhi suraton ke mutalliq poocha . Unhon ne kaha yeh shuru mufassal ki bees surtein hain , in ki aakhri surtein woh hain jin ki awwal mein «ha-meem» hai . «ha-meem ad-dukhaan» aur «amma yatasa-aloona» bhi in hi mein se hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 775
حدثنا آدم، قال: حدثنا شعبة، عن عمرو بن مرة، قال: سمعت ابا وائل، قال: جاء رجل إلى ابن مسعود، فقال:" قرات المفصل الليلة في ركعة، فقال: هذا كهذ الشعر، لقد عرفت النظائر التي كان النبي صلى الله عليه وسلم يقرن بينهن، فذكر عشرين سورة من المفصل سورتين في كل ركعة".
Hum se Aadam bin Abi Iyaas ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , kaha ke hum se Amr bin Murrah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke main ne Abu Wail Shaqeeq bin Muslim se suna ke ek shakhs Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ki khidmat mein haazir hua aur kaha ke main ne raat ek rakat mein mufassal ki surat parhi . Aap ne farmaya ke kya isi tarah (jaldi jaldi) parhi jaise sher parhe jate hain . Main un hum maani suraton ko jaanta hoon jinhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ek saath mila kar parhte thay . Aap ne mufassal ki bees suraton ka zikr kiya . Har rakat ke liye do do surtain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة