الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضائل القرآن
Kitab: Quran ke fazail ka bayan
باب تأليف القرآن:
Bab: Quran Majeed ya ayaton ki tartib ka bayan.
Hadith Number: 4994
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، قال: سمعت عبد الرحمن بن يزيد بن قيس، سمعت ابن مسعود، يقول: في بني إسرائيل والكهف ومريم وطه والانبياء:" إنهن من العتاق الاول وهن من تلادي".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Abu Ishaq ne byaan kiya , unhon ne Abdur Rahman bin Umayyah se suna aur unhon ne Ibn Masood razi Allahu anhu se suna , unhon ne kaha Surah Bani Israeel , Surah al-Kahf , Surah Maryam , Surah Taaha aur Surah Anbiya ke mutalliq batlaya ke yeh paanchon surtein awwal darja ki faseeh surtein hain aur meri yaad ki hui hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4708
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، قال: سمعت عبد الرحمن بن يزيد، قال: سمعت ابن مسعود رضي الله عنه، قال في بني إسرائيل، والكهف، ومريم:" إنهن من العتاق الاول، وهن من تلادي، فسينغضون إليك رءوسهم"، قال ابن عباس:" يهزون"، وقال غيره: نغضت سنك، اي تحركت.
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne , un se Abu Ishaq Amr bin Ubaydullah Sabii ne byaan kiya , kaha ke main ne Abdur Rahman bin Yazid se suna , kaha ke main ne Abdullah bin Masood razi Allahu anhu se suna , unhon ne Surah Bani Israeel , Surah al-Kahf aur Surah Maryam ke mutalliq kaha ke yeh awwal darja ki umdah nihayat faseeh o baleegh surtein hain aur meri purani yaad ki hui (aayat) «fasayunghidhoona» ke mutalliq Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke apne sar hilaayein ge aur doosre logon ne kaha ke yeh «naghadhat sinnuka» se nikla hai yani tera daant hil gaya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة