الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضائل القرآن
Kitab: Quran ke fazail ka bayan
باب جمع القرآن:
Bab: Quran Majeed ke jama’ karne ka bayan.
Hadith Number: 4987
حدثنا موسى، حدثنا إبراهيم، حدثنا ابن شهاب، ان انس بن مالك حدثه،" ان حذيفة بن اليمان قدم على عثمان وكان يغازي اهل الشام في فتح إرمينية واذربيجان مع اهل العراق، فافزع حذيفة اختلافهم في القراءة، فقال حذيفة لعثمان:" يا امير المؤمنين، ادرك هذه الامة قبل ان يختلفوا في الكتاب اختلاف اليهود والنصارى، فارسل عثمان إلى حفصة، ان ارسلي إلينا بالصحف ننسخها في المصاحف ثم نردها إليك، فارسلت بها حفصة إلى عثمان، فامر زيد بن ثابت وعبد الله بن الزبير وسعيد بن العاص وعبد الرحمن بن الحارث بن هشام فنسخوها في المصاحف، وقال عثمان للرهط القرشيين الثلاثة: إذا اختلفتم انتم وزيد بن ثابت في شيء من القرآن، فاكتبوه بلسان قريش، فإنما نزل بلسانهم، ففعلوا حتى إذا نسخوا الصحف في المصاحف رد عثمان الصحف إلى حفصة، وارسل إلى كل افق بمصحف مما نسخوا، وامر بما سواه من القرآن في كل صحيفة او مصحف ان يحرق".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha hum se Ibrahim bin Saad Aufi ne byaan kiya , kaha hum se Ibn Shihab ne byaan kiya aur un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Huzayfah bin al-Yaman razi Allahu anhu Ameer al-Momineen Usman razi Allahu anhu ke paas aaye is waqt Usman razi Allahu anhu Armeenia aur Azarbaijan ki fatah ke silsile mein Sham ke ghaziyon ke liye jang ki tayyariyon mein masroof thay , taake woh Ahl e Iraq ko saath le kar jang karein . Huzayfah razi Allahu anhu Quran Majeed ki qirat ke ikhtilaf ki wajah se bahut pareshan thay . Aap ne Usman razi Allahu anhu se kaha ke Ameer al-Momineen is se pehle ke yeh ummat (Ummat e Muslimah) bhi Yahudiyon aur Nasraniyon ki tarah Kitab Allah mein ikhtilaf karne lage , Aap is ki khabar lijiye . Chunanche Usman razi Allahu anhu ne Hafsa razi Allahu anha ke yahan kahlwaya ke sahifay (jinhein Zayd razi Allahu anhu ne Abu Bakr razi Allahu anhu ke hukm se jama kiya tha aur jin par mukammal Quran Majeed likha hua tha) hamain de dein taake hum unhein mus-hafon mein (kitabi shakal mein) naqal karwa lein . Phir asal hum Aap ko lauta dein ge Hafsa razi Allahu anha ne woh sahifay Usman razi Allahu anhu ke paas bhej diye aur Aap ne Zayd bin Sabit , Abdullah bin Zubayr , Saad bin al-Aas , Abdur Rahman bin Haris bin Hisham razi Allahu anhum ko hukm diya ke woh in sahifon ko mus-hafon mein naqal kar lein . Usman razi Allahu anhu ne is jama'at ke teen Qurayshi sahabiyon se kaha ke agar Aap logon ka Quran Majeed ke kisi lafz ke silsile mein Zayd razi Allahu anhu se ikhtilaf ho to usay Quraysh hi ki zaban ke mutabiq likh lein kyunke Quran Majeed bhi Quraysh hi ki zaban mein nazil hua thu . Chunanche in logon ne aisa hi kiya aur jab tamam sahifay mukhtalif nuskhon mein naqal kar liye gaye to Usman razi Allahu anhu ne in sahifon ko wapas lauta diya aur apni sultant ke har ilaqa mein naqal-shuda mus-haf ka ek ek nuskha bhijwa diya aur hukm diya ke is ke siwa koi cheez agar Quran ki taraf mansoob ki jati hai khwah woh kisi sahifa ya mus-haf mein ho to usay jala diya jaye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3506
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن ابن شهاب، عن انس:" ان عثمان دعا زيد بن ثابت وعبد الله بن الزبير و سعيد بن العاص وعبد الرحمن بن الحارث بن هشام فنسخوها في المصاحف، وقال عثمان" للرهط القرشيين الثلاثة إذا اختلفتم انتم وزيد بن ثابت في شيء من القرآن فاكتبوه بلسان قريش فإنما نزل بلسانهم ففعلوا ذلك".
Hum se Abdul Aziz Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Ibrahim Bin Saad ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne aur un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne ke Usman (Radi Allahu Anhu) ne Zaid Bin Sabit, Abdullah Bin Zubair, Saeed Bin Al-Aas aur Abdur Rahman Bin Haris Bin Hisham (Radi Allahu Anhum) ko bulaya (aur un ko Quran Majeed ki kitabat par muqarrar farmaya, chunancha in hazrat ne) Quran Majeed ko kai mushafon mein naqal farmaya aur Usman (Radi Allahu Anhu) ne (in charon mein se) teen Quraishi Sahaba se farmaya tha ke jab aap logon ka Zaid Bin Sabit (Radi Allahu Anhu) se (jo Madinah Munawwarah ke rehne wale thay) Quran ke kisi maqam par (is ke kisi muhavre mein) ikhtilaf ho jaye to is ko Quraish ke muhavre ke mutabiq likhna, kyunke Quran Shareef Quraish ke muhavre mein nazil hua hai. Unhon ne aisa hi kiya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة